bimaar | maazur ke liae sajdah karne ka tariqah - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, October 15, 2020

bimaar | maazur ke liae sajdah karne ka tariqah

Sawaal az : Mohtaram janaab Waseem Hussain sb / from patna

Salam. Bhai ek mas'ala pata kar sakte hain.


Ayt Sistani ke according agar ek mareez hai aur jhuk nahi sakta, baith kar namaz padh raha hai to kya sajde ke liye sajdegah utha sakta hai sar tak?


jawaab :


باسمه تعالى


السلام على الحسين و على على ابن الحسين

وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

bimaar wa maazur shakhs sajde'gaah tak jis qadr jhuk sakta hai otna hi jhuke aur sajde'gaah ya aiysi chiz jis par sajdah sahih hai ous ko ounchi jagah par rakh kar sajdah kare

lekin imkaan ki surat me zaruri hai ke donon haathon ki hatheliyaan oungiliyon samet aur donon zaanu ( ghutne ) aur pair ke donon anguthe maamul ke motaabiq zamin par rakhe


agar koei aunchi chiz nahi hai jis par sajdegaah ya aiysi chiz rakhe jis par sajdah sahih hai ya dusra nahi hai jo sajdegaah ... ko autha kar peshaani ke qarib karke pakde rahe taake maazur shakhs ous par sajdah kare to is surat me zaruri hai ke sajdegaah ya jis par sajdah sahih hai ous ko haath se autha kar ous par sajdah kare


agar bimaar wa maazur shakhs bilkul nahi jhuk sakta hai to sajde ke liae sar se aeshaarah kare , agar sar se aeshaarah nahi kar sakta hai to aankhon se aeshaarah kare , agar aankhon se bhi nahi kar sakta hai to zaruri hai ke qalb me sajdeh ki niyat kare


Aur benaabar aehteyaate waajib sajde ke liae haath aur is ke maanind chiz se aeshaarah kare aur waajib zikr-e-sajdah bhi kahe


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


27 / صفر / 1442 ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen