aiy'yaame aza me shaadi ke kapde kharidne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, October 21, 2020

aiy'yaame aza me shaadi ke kapde kharidne ka hukm

sawaal az : ..........


Salam


Mera Sawal ye hai maine kuch logo ko dekha hai jinke ghar me rabiuwal me shadi hone wali wo log ghum ke mahine me bhi naya kapda kharidte hain. kya Shadi ke liye naya kapda kharid sakte hain? Naam batana nahi hai


jawaab :


باسمه تعالى


السلام على الحسين وعلى على ابن الحسين

وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

ba zaate khud haraam nahi hai kharid sakte hain lekin agar aiy'yaame aza ki be hurmati wa be aehteraami ho to jaa'aez nahi hai haraam hai


agar be hurmatai wa be aehteraami na ho tab bhi behtar hai ke ghaiyrat mand momenin hattal imkaan is se parhez karne ki koshish karen

is liae ke agar ahlebait ( صلوات الله عليهم ) ke aiy'yaame aza wa huzn me khariden to ous me barkat nahi hogi lehaaza aiy'yaame aza ke baad is tarah ke kaam karen


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


4 / ربيع الاول / 1442 ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen