Salamun Alaikum Agha!
Question- Arz hai.. Jab Sajde-gaah na ho toh Sajda kahan pe kar sakte hai?
Kya apne haath pe Sajda karna sahi hai?
moqallid : aayatullah sistaani
Wassalam..!!jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar sajde gaah nahi hai to oun chizon par sajdah karen jis par sajdah karna sahih hai jaiyse khaak , mitti ka sukha dhela , qudrati pat'thar , ghaas , bhusa , ret , baalu , lakdi , darakht ka aiysa patta aur phul jo nahi khaae jaate hain , khurma ki bij , maghz wa gude se juda hone ke baad akh'rot , baadaam aur piste ka chilka , aqiq , firuzah aur yaaqut ka pat'thar ...
jin chizon par sajdah karna sahih hai agar wo nahi hain to oun chizon par sajdah kar sakte hain jin par haalate aekhteyaar me sajdah karna jaa'aez nahi hai
jaiyse kapda , farsh aur masjid ka plaster waghaiyrah lekin aehteyaate mustahab ye hai ke jab tak apne lebaas par sajdah karna momkin hai dusri chiz par sajdah na karen
haath ke oupar sajdah karne ke ta'alluq se aayatullaah sistaani ki fiqhi ketaabon ko dekha mujhe nahi mila aur Qum moqad'dasah me aap ke daftar se bhi mujhe jawaab nahi mila
bahar kaif koei parishaani ki baat nahi hai majburi me ( jaiyse sajdegaah ka na hona ... ) oun chizon par sajdah kar sakte hai jin par sajdah karna jaa'aez nahi hai
lehaaza haath par kar sakte hain ya nahi ? is ka jaanna zaruri nahi haiNote :
mazid tafsilaat wa maalumaat ke liae tauzihul masaa'ael se roju karen ya di gaei video molaaheza farma len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
21 / صفر / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment