باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
hamesha makhsusan ay'yaame aza me ye baat nashr ki jaati hai ke zeyaarate aashura ke aakhir me pahle, dusre, tisre aur chauthe ( 1, 2, 3, 4 ) par laanat bhejne ka misdaaq "Haabeel, naaqae janaabe Saaleh, janaabe Yahya aur amirul momenin ( عليه السلام )" ke qaatil hain
ye baat bilkul jhut aur ghalat hai ayisa bayaan haqiqat se koson dur hai, laanat ke misdaaq me tahrif hai taqriban 5 ya 6 saal pahle is ka jawaab diya tha lekin afsos delete ho gaya, intehaaei aekhtesaar ke saath shabe jum'aa me dobaarah likhne ki sa'aadat haasil kar raha hun
Dar haqiqat maajra ye hai :
abbaasi khalifa "Ahmad" se janaab shaikh Tusi ( رضوان الله عليه ) ki choghli ( چغلی ) ki gaei ke shaikh Tusi aur aap ke as'haab sahaaba par sab karte hain aur dalil wa sobut ke taur par aap ki ketaab "misbaahul motahajjid = مصباح المتهجد" se zeyaarate aashura ke ous aakheri hisse ki taraf aeshaara kiya jis me pahle, dusre, tisre aur chauthe par laanat karne ka tazkera hai
khalifa ne shaikh Tusi ( نور الله مرقده ) ko bolwaaya aur ketaab bhi mangaaei, jab darbaar me shaiykhut taaefa shaikh Tusi (قدس الله سره ) tashrif laa'ae to maalum huaa maajra keya hai ?
khoda ne aap par ilhaam kiya ke is tarah kahen :
pahle, dusre, tisre aur chauthe se moraad wo nahi hain jin ke baare me sokhan chin ( سخن چیں ) ne gumaan kiya hai
balke pahle se moraad Haabeel ka qaatil "Qaabeel" hai aur dusre se moraad "Qaiydaar = قَيدار" hazrat Saaleh ki ountni ( naaqa tullaah ) ka qaatil hai aur tisre se moraad janaabe "Yahya bin Zakariya" ka qaatil hai aur chauthe se moraad amirul momenin Ali ( عليه السلام ) ka qaatil "Abdur Rahmaan bin Muljim" hai
khalifa ne jab shaikh Tusi ki ye taawil wa bayaan suna to aap ka aehteraam kiya aur choghli karne waale ki tahqir ki
( moqaddema ketaab "al istibsaar jild 1 taalif shaiykhut taaefa shaikh Tusi قدس الله سره" ye ketaab 4 mohim ketaabon "kotube arba'aa" me se aek hai )
momenin ko ittela hogi ke shaikh Tusi ke zamaane me shion ke khun se holi kheli jaa rahi thi oun ko mokhtalif qism ke aazaar-o-aziyat ... ka saamna tha, shaikh Tusi ( رحمة الله عليه ) ki ketaabon aur taalifaat ko kaei martaba nazre aatish kar diya
waise haalaat me jaan bachaane aur daf'ae shar ke liae shaikh Tusi ke paas taqiyah ke aelaawah dusra koei raasta nahi tha lehaaza is tarah ki taawil ba taure taqiyah ki
qaabile tawajjoh baat ye hai ke agar haqiqat me pahle, dusre, tisre aur chauthe se moraad Qaabeel, Qaiydaar, janaabe Yahya aur imaam Ali ( عليه السلام ) ke qaatil hote to in ke naam makhfi wa poshidah aur raaz me rakhne ki zarurat nahi thi
pahle, dusre, tisre aur chauthe ki jagah in ke naam ka zikr hota lehaaza pahle, dusre, tisre aur chauthe ka misdaaq koei aur hai ye nahi hain
Note :
behtar hai di gaei video molaaheza farma len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat
۔14 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment