Shaadi shuda aurat agar zena kare to keya nekaah baaqi rahe ga ? | zena ki mazammat | is ke baad keya karen ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, September 27, 2020

Shaadi shuda aurat agar zena kare to keya nekaah baaqi rahe ga ? | zena ki mazammat | is ke baad keya karen ?

Sawaal az : ....


As-salamo alaykum wa rahmattullahe wa barkatoh Agah
Allah aap ko Ahelebait a.s. ke waste wasile se Sehato Tandurastti ata farmaye aur aakhri dam tak iman aur unki Mahobbat par kayam rakhe


Hajarat. mera naam ... hay may ... me mukim hu
may Aayattullah Sistani shab ka Mukllid hu
meri aap se gujaris hay ki mera naam pata aur phone no. aam na kare


Mera masala ye hay ki meri shadi shuda beti jiska ek 8 sala beta bhi hay usne apne sasural me ek gayr muslim ke sath zina kiya hay beti abhi mere ghar pe hay to sharayi had Kya hogi


Jawaab :


باسمه تعالى


السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
بہت بہت شکریہ


Aayatullaah Sistaani :


apne shauhar par haraam nahi hai


meri taraf se zaruri aur mokhtasar wazaahat :


ye fel bahot ghenaaona (گھناؤنا) aur sangin jurm wa sakht gunaah hai
aayaat aur rewaayaat me is ki shadid wa sakht tarin alfaaz me mazammat ki gaei hai


surah isra aayat 32 me hai :


"aur zena ke qarib bhi na jaao beshak wo be hayaaei hai aur buri raah hai"


zena ke qarib jaane ke liae mana kiya gaya hai tawajjoh farmaa'aen khud zena ketna bada gunaah wa jurm hai


khosusan aek shaadi shuda aurat zena ka irtekaab kare to intehaaei bad'tarin fel hai aur agar koei musalmaan aurat kisi ghair muslim se kare to is ki buraaei me mazid aezaafa ho jaa'ae ga


dunya aur aakherat me is ke bahot zeyaadah noqsaanaat aur mohlik asaraat bhi hain


Raahe nejaat :


  1. is gunaah ko kisi se bhi na bataa'aen hatta qaribi rishtedaaron aur shauhar se bhi is liae ke bataane se iz'zato aabru jaa'ae gi aur zindagi darham barham ho jaa'ae gi aur khud bataana bhi gunaah hai

  2. Maasumin (صلوات الله عليهم) ke zariae baar'gaahe khoda me sach'chi tauba karen yaani aaeinda is gunaah ke na karne ka azm qawi karen is se baaz rahna laazim hai

  3. dobaara nekaah kiae beghair apne shauhar ke saath ach'chhi zindagi basar karen ye aurat ka jehaad hai

  4. surah zomar aayat 53 me mohabbat bhara ye khetaab tamaam insaanon se hai :

  5. "... ay mere bando jinhon ne apni jaanon par zeyaad'ti ki hai (gunaah ka irtekaab kiya hai) Allaah ki rahmat se maayus na hona, yaqinan Allaah tamaam gunaahon ko moaaf farmaata hai, wo yaqinan bada moaaf karne waala, mehrabaan hai"


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


9 / صفر / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen