اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
باسمه تعالى
beghair tamhid aur wazaahat ke batlaa dun wahaabi muftiyon ke aiyse fatwon ko nazar andaaz karte huae jin ko bayaan karne se insaaniyat wa qalam bhi sharmaa jaa'ae aur padh kar aap ki ruh kaanp uthe.
baaz aiyse fatwon ka zikar kiya jaa raha hai jo qaabile bayaan hain oun ko padhne ke baad aap khud faisla karen aaya ye qur'aane kareem aur motabar ahaadees ki zid hain ya nahi ? jaahelana wa ahmaqaana hain ya nahi ? aaya aiyse fatwon se islam ka tamaskhur nahi hota ? islam badnaam nahi hota ? aqli, naqli aur samaaji nuqta'ae nazar se aiyse fatwon ke baare me keya khayaal hai ?
- auraten wa ladkiyaan kheera aur kela ko apne haathon se nahi pakad sakti hain aur chhu bhi nahi sakti hain pakadna wa chhuna jaa'aez nahi hai is liae ke oun ko dekh kar shahwat bhadke gi lehaaza agar khaana hai to shauhar ya baap waghairah se kahen wo kaat kar den !
- agar shauhar ghar me nahi hai to aurat ke liae cooler chalaana haraam hai
is liae ke jab cooler chalaa'ae gi to hamsaaya wa padosi samajh jaa'aen ge ke wo ghar me tanha hai lehaaza zena wa fahsha ka irtekaab ho sakta hai benaabar'ein samaaj wa mo'aashara ko zena se paak rakhne ke liae cooler chalaana haraam hai - jo log jinsi lehaaz se mushkil me hain wo ghair akhlaaqi, akhlaaq baakhta filmen dekh satke hain ba'sharte ke ous ke hero (actor) aur heroine (actress) musalmaan hon !
- agar aek mard aur aek aurat aek hi kamre me aek saath kaam karte hain aur ous kamre ka darwaaza sirf wahi log kholte aur band karte hain to aapas me mahram banne ke liae wo aurat ous mard ko 5 martaba apna dudh pilaa'ae wo mahram ho jaa'aen ge aur aek kamre me tanha rahna shar'ei ho jaa'ae ga !
- badsurat ladkiyaan jin ki shaadi nahi ho pa rahi hai wo shaadi karne ke liae aur jawaano ko apni taraf motawajjeh karne ke liae neem uryaan rahen taa ke dekh kar jawaano ki shahwat bhadke aur oun ki taraf maa'ael hon !
- tablighi jamaa'at ke afraad tablighi daure par baahar jaate hain ous dauraan oun ki biwiyaan shauhar se dur rahti hain lehaaza jinsi khaahish ko puri karne ke liae mahalle ke jawaano se jinsi ta'aluqaat barqaraar kar sakti hain !
- agar kisi ko aqd ke baad fauran jail bhej diya jaa'ae aur 5 saal jail me hi rahe ous dauraan biwi se aek lamhe ke liae bhi molaaqaat nahi ki rehaa'ei ke baad jab ghar jaa'ae aur biwi ke paas kaei bach'che dekhe to wo saare bach'che ousi mard ki aulaad hain
is liae ke mumkin hai kisi wali ki karaamat se wo dono aek dusre se milte hon jis ka nateeja wo bach'che hain
(yahan wali'ae khoda ki karaamat ka aeteraaf kar liya) ! - agar kisi ki ladki dunya ke aek kenaare aur goshe me zindagi kar rahi hai ous ke baap ne aek aiyse ladke se shaadi kar di jo dunya ke dusre kenaare par zindagi kar raha hai dono (ladka aur ladki) shaadi ke baad kabhi bhi aek dusre se nahi mile aur na hi aek dusre ko dekha shaadi ke 6 maah baad ladki saahebe aulaad ho jaa'ae to ous ka baap wahi ladka hai jo dunya ke dusre kenaare par zindagi kar raha hai !
- agar kisi ki biwi ko mare huae kuchh hi der huei hai to ous se moqaarabat kar sakta hai jaa'aez hai !
- kursi par auraton ka baithna haraam hai agar baithe to islam se khaarij ho jaa'ae gi is liae ke agar kursi par baithe gi to jin ous se shaadi kar sakte hain lehaaza islam se khaarij ho jaa'ae gi !
- shaam me jehaad karne waalon (dahshat gardon) ki rasaaei agar naa-mahram khawaatin tak na ho to is surat me apni mahram khawaatin bahen waghairah se aqd kar sakten hain aur lewaat bhi !
- naa'mahram ladki se wahaabi olama ka mosaafaha karna jaa'aez hai !
- shaam waghairah ke mojaahedin (dahshat gard) ladkiyon aur shauhar daar auraton se jinsi ta'aluqaat barqaraar kar sakte hain ba'sharte ke apne shauharon ko na bataa'aen albatta shauhar raazi ho jaa'ae to koei baat nahi ye raahe khoda me khaalesaana amal hai
jo ladkiyaan aur auraten mukhtalif mojaahedin (dahshat gardon) ke neeche se guzri hain oun par bahisht wajib hai !
ye fatwa "jehaadun nekaah" ke naam se mash'hur huaa - bahrain ke aek wahaabi mufti ne fatwa diya ke mulk ka aeqtesaad behtar karne ke liae ba'qadare zarurat nashe ki chizen aur jinsi (jism faroshi) ki tejaarat jaa'aez hai albatta oulul amr (bahrain ke dictator) ki aejaazat se !
- khaali kamre me baap wa beti ka rahna haraam hai is liae ke mumkin hai beti baap ki hawas ka shekaar ho jaa'ae !
- auraton ke liae pant pahen'na jaa'aez nahi hai hatta apne shauhar aur auraton ke saamne !
- aghlaam baazi jaa'aez hai hatta baaz muftiyon aur imaame jamaa'at ne saraahatan kaha ham ne ye kaam kaei martaba kiya hai taujih ye ki ke asre jadid me is se islam phaile ga !
- khawaatin ka gaadi chalaana haraam hai
- maahe ramazaan me roze ki haalat me auraton ka apne shauhar ke liae make-up (chehre ki aaraaeish) karna jaa'aez nahi hai
aiysa karne se roza baatil ho jaa'ae ga ! - musalmaanon ke liae tamaatar (tomato) khaana haraam hai is liae ke jab ous ko seedha (amudi) kaat'te hain to bich me saleeb nazar aati hai benaabar'ein tamaatar khoda ki parastish ke bajaa'ae saleeb ki parastish karta hai
saleeb khoda'ae waahid ke bajaa'ae teen khoda par imaan rakhti hai
lehaaza tamaatar masihi hai ous ka khaana haraam hai ! - Somaali ke "al'shabaabul mojaahedin" ne maahe ramazaan me aek fatwa saadir kiya jis me kaha gaya hai ke samosa (tekona) khaana haraam hai is liae ke ous ke tin kone eisaaeion ke aqide saalus (taslis) ki tarah hain !
- Agar jin mil jaa'ae to ous ka gosht khaana halaal hai !
- agar aek bakri ka dudh chand logon ne pi liya to aapas me rezaaei bhai bahen ho jaa'aen ge aek dusre se shaadi nahi kar sakte !
- chamche se khaana, khaana haraam hai !
- pakaane ke pahle gosht dhona bid'at hai !
- zaafaraan khaana jaa'aez nahi hai is liae ke ous ka shumaar nashili chizon me hota hai
isi tarah gheza me mila kar khaana bhi baaz wahaabi mufti ke nazdik jaa'aez nahi hai ! - Mojaahedin (dahshat gardon) ka peshaab pina gunaahon se paak hone ka baa'aes hai !
- mard apni biwi ko sirf aek message kar ke talaaq de sakta hai !
- jin garm aelaaqon me baar baar bijli jaati hai wahaan roza rakhna waajib nahi hai !
- jin logon ka kaam sakht hai jaiyse "fire department" wo aadhe din ka roza rakh sakte hain zohr ke waqt iftaar kar len !
- roze ki haalat me eistinja ke baad aazaa'ae tanaasul ko jhetakna zaruri hai wagarna pet ke andar paani jaane se roza baatil ho jaa'ae ga !
- Football khelna haraam hai magar shart wa shorut ke saath !
- Football ke khelaadiyon ke liae haath hilaana haraam hai !
- bimaar ko phul dena haraam hai !
- jo " AIDS " jaiysi bimaari ki wajah se mar gaya wo islaam ki nazar me shahid hai !
- kaam karne ki jagah aur gaadi chalaate waqt qur'aane karim ki telaawat sunna haraam hai !
- safety belt baandhna haraam hai is liae ke ye qaza wa qadar me rokaawat hai !
- apne bach'chon ke naam Ahlebaite rasul (صلوات الله عليهم) ke naam par na rakhen jaiyse, Ali, Hasan, Husain, Zahra...!
- jo shakhs daa'aesh ko dost na rakhe ous ka roza baatil hai !
- Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ghalati wa khata aur eish'tebaah kar sakte hain lekin Ibne Taiymiyah se koei ghalati wa khata aur eish'tebaah nahi ho sakta hai (معاذالله)
(aiyse fatwon ke natije me paida hone waale takfiriyon ke naa-jaa'aez bach'chon se kisi ach'chhe ki ummid karna bekaar hai takfiri aurat aur mard har jagah gandagi aur sirf musalmaanon ke darmeyaan nafrat phaila rahe hain is ki aek wajah oun ka haraam nutfa hai)
(aek ne aek wahaabi mufti se puchha mera naam Husain hai keya karun to jawaab mila aage "ت" ("te") ka aezaafa kar do "tahsain" ho jaa'ae ga)
Saudiya me ifta committee se kisi ne puchha (janaab) Abdul Mut'talib wa (janaab) Abu Taalib se mota'alliq aek tv serial dekhne ki wajah se main oun ka mohib wa dost ban gaya aaya main gunaah gaar hun ?
Jawaab :
Abdul Mut'talib ki maut deene jaaheliyat par huei ye shirk billah hai aur Abu Taalib haq ko jaante the ous ke baawojud ous par amal nahi kiya aehtezaar ke waqt jab Rasul ne shahaadat ke liae kaha to kahne se inkaar kar diya aur kaha mein deene Abdul Mut'talib par hun lehaaza oun se mohabbat na karna aur dushmani wa bughz rakhna waajib hai (معاذاللہ)
(lekin Israel wa America... ko aaqa wa maula manna...)
ye fatwa aur daarul olum deoband ka haaliya fatwa bhi jaahelana wa ahmaqaana fatwon ka silsila wa hissa hain
ous me kaha gaya hai "shi'on ke yahaan iftaar karne yaa shaadi beyaah me daawat wa jaane se parhez karen
yaume quds, aalame islam ke asali masaa'ael aur markaze wahaabiyat me seyaasi bohraan, khaana jangi aur mulk ki daakheli mushkelaat se tawajjoh hataane ke liae is tarah ka fatwa dilwaaya gaya hai
dev ke band me qaid "daarul jahul" (sakht jaahil wa naadaan) ke muftiyon ka ye fatwa islam dushman anaasir ki bahot badi khidmat hai musalmaanon ke darmeyaan tafreqa phailaane ke liae ye fatwa dilwaaya gaya hai
Saabiq shaikhe azhar (Misr) ne bajaa farmaaya :
لا اعرف مذهبا اسلاميا اسمه وهابيه
Mujhe kisi aiyse islami mazhab ka ilm nahi jis ka naam wahaabi hai
(al-kausar channel arabi 10 / 02 / 2010)
Ye baat suraj se zeyaadah zaahir aur ayaan hai ke dah'shat'gard geroh wahaabi ki tashkil ka asl maqsad asli islaam yaani Islaame Mohammadi wa Alavi (صلوات الله علیهم) ki takhrib aur is ke nuraani wa khub'surat chehre ko bigaad kar pesh karna aur musalmaano ke andar fitna aur inteshaar phailaana hai
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad Patna Maqim Qum-ul-mosharraf / Iran
22 / ramazaanul mobaarak / 1439 H.Q
this article transliterated by "Saiyed Md Tabish" urdu to roman urdu
No comments:
Comment