najis haath | kaafir | ahle ketaab | dushmane ahl-e-bait ka pasina kisi jagah lag jaae to keya wo najis ho jaae gi ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, September 21, 2020

najis haath | kaafir | ahle ketaab | dushmane ahl-e-bait ka pasina kisi jagah lag jaae to keya wo najis ho jaae gi ?

sawaal az : +9187558....

Salamunaleykum

1. agr hamara hath najis hai aur uske sukhne ke baad ham kisi paak chiz ko pakad len aur pakdne ke baad hamare hath me paseena aa jaaye to kya wo chiz bhi najis ho jayegi jisko hamne pakda hai.


2. travel karte time ya office waghaira me ham jaate hain to seat par paseena laga hota hai aur hame ye bhi pata hai ki non muslims ka hai aur kabhi kabhi ye bhi pata hota hai ki najis insaan ka hai jo baitha tha

To kya ham wahan baithne par najis ho jaayenge agar seat pe paseena laga hai to.


jawaab :

باسمه تعالى


السلام على الحسين و على على ابن الحسين

و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

1. ji najis ho jaae gi lekin agar pasine ki tari aetni kam ho ke paak chiz tak na pahunche to paak chiz najis nahi hogi


2. ahle ketaab yaani yahud-o-nasaara aur majusi paak hain lehaaza agar oun ka pasina hai to paak hai lagne se paak chiz najis nahi hogi

lekin kaafir ... ya khaareji wa naasebi ( yaani jo a'eimma athaar صلوات الله عليهم se dush'mani ka izhaar kare ) najis hain


isi tarah agar koei shakhs 12 imaamon ( سلام الله عليهم ) me se kisi aek ko dush'mani me gaali wa dushnaam de to najis hai

Aur ghaali ( غالی ) ( a'eimma سلام الله عليهم me se kisi aek ko khoda maane ya kahe khoda oun me holul kar gaya hai ) bhi najis hain


lehaaza agar in me se kisi aek ka pasina paak chiz par lag jaae to jis jagah laga hai sirf wahi jagah najis hogi, jahaan nahi laga hai wo paak hai

lekin agar pasine ki tari is qadr kam ho ke ous par saraayat na kare to najis nahi hogi


agar kisi paak insaan ke badan ka koei hissa najis hai to sirf ousi jagah ka pasina najis hai , ous ka hukm bhi wahi hai jis ka zikr oupar kiya gaya hai


Note :

agar kisi chiz ke najis hone ya saraayat karne par yaqin hai tab najis hai lekin agar shak hai to paak hai , chhaan bin karne ki zarurat nahi hai


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


2 / صفر / 1442 ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen