Sawaal az : mohtarama janaab Samaana Razavi Sb / Muzafarpur
Salam
agar shabe qadar me haiz ki halat me ho jaye to dua padhne me koi harz to nahi hai jaise ki quran bhi padh sakte hai pr 7 aayat se zyada nahi jaise ki dua tauba, joshan kabeer, joshan sageer wegera dua jo hote hai woh padhne me koi harj nahi hai
Aapke jawab ki muntazir hun
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Haiz ki haalat me auraten chand kaam nahi kar sakti hain :
- wo tamaam aebaadaten jis me tahaarat (wozu ya ghusl ya tayam'mum) shart hai jaiyse namaaz (khaah waajib ho ya mustahab) aur roza ...
- masjid me tawaq'quf yaani rukna
- aayaate qur'aan ya moqaddas naamon ko chhuna (mas karna) aayat ya naam khaah doa'on me likhe hon ya kahin aur
- qur'aan ki oun aayaton ko padhna jis par sajda waajib hai
lekin oun aebaadaton ko baja laane me koei haraj nahi hai jis me wozu ya ghusl ya tayam'mum karna zaruri nahi hai jaiyse namaaze mai'yit
Wazaahat :
baaz maraaje aezaam ke nazdik aayate sajda ke aelaawah baaqi surah ko bhi padhna jaa'aez nahi hai
lekin aayaate keraam Rahbare Inqelaab Khaamenaei, Sistaani aur Makaarim wa Saafi ke nazdik sirf aayate sajda ko padhna haraam hai
(waajib sajde waali aayaton ke aelaawah)
baaz foqaha ke ba'qaul 7 aayato se zeyaadah padhna makruh hai
is ka matlab ye nahi hai ke qur'aan na padhe balke moraad ye hai ke sawaab kam hai lehaaza na padhne se padhna behtar hai
haalate haiz me aayate sajda ko padhna haraam hai, sunne me koei haraj nahi hai
lekin agar sajde waali aayat ko sun liya to sajda karna zaruri hai
(haalate haiz me baaz dusri chizen jaiyse ham bistari ... haraam hai, tafsil tauzihul masaa'ael me dekh len)
ghusl samet shabe qadr ke aamaal ( namaaz ke aelaawah) baja laane aur shabe qadr wa dusre dinon me bhi aayate sajda ke aelaawah qur'aan karim wa tamaam doa'on ko padhne me koei haraj nahi hai
zeyaarate aashura padhne ke baad sajda bhi kar sakti hain
Note :
- doa'ae kumail me aayat
"اَفَمَن كَانَ مُومِناََ كَمَن كَانَ فَاسِقاََ لَا يَستَوُون" (sajda 18)
aur doa'ae nudba me aayat
"فَكَانَ قَابَ قَوسَينِ اَو اَدنى" (najm 9) hai - haalate haiz me wozu karna aur ghusle jum'aa ke aelaawah tamaam mustahab ghusl wa ghusle janaabat karna sahih hai
- keya haiz ki haalat me aurat achhut hai ? | ous ki wajah se ghar najis ho jaata hai ?
- qur'aan ke waajib sajde aur ous ke ahkaam
in surah me aayate sajda hai to keya haalate haiz me doa'ae kumail aur doa'ae nudba padhna jaa'aez hai ?
jo khaaharaan aiyse marja ki taqlid karti hain jin ke nazdik sirf aayate sajda ko padhna haraam hai jaiyse aayaate keraam Sistaani, Rahbare Inqelaab Khaamenaei aur Makaarim wa Saafi to in ki moqalledah in doa'on ko aayat samet padh sakti hain, is liae ke sura sajda me aayat 15 aur surah najm me aakheri aayat par sajda waajib hai
aur jo khaaharaan aiyse marja ki taqlid karti hain jin ke nazdik tamaam surah ko padhna haraam hai to ye doa'aen padh sakti hain lekin sirf ye aayaten zabaan se ada na karen
behtar hai di gaei video dekh len aur ous ke niche diae ga'ae dono jawaab padh len
keya maahwaari (menstruation) ki haalat me auraten nazr ka khaana paka sakti hain ?
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
3 / شوال / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment