shatranj | luddo | taash| mobile | computer se khelne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, September 9, 2020

shatranj | luddo | taash| mobile | computer se khelne ka hukm

sawaal az : mohtaram janaab Meer Zulfequar Ali sb


Salamunalik Agah

Ye aaj kal ke bacche ludo aur shatranj khelte hai, kya ye khelna jayez hai. Aur computer yaa mobile par patte khelna bagair shart lagaye khelna?


Wsslaam

Jazakallah o khair


Jawaab :


باسمه تعالى


السلام علی الحسين و علی على ابن الحسین

وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar aap ke aelaaqe ke logon (ourf) ke nazdik jis chiz ka bhi shumaar juaa (qemaar) ke aalaat me hota hai to aehteyaate waajib ke taur par ous se khelna haraam hai chaahe computer ya mobile... se khelen ya ba surate haqiqi aur waaqaei yaani afraad ke saath . hukm me koei farq nahi hai haraam hai

Aur agar logon ke nazdik ous ka shumaar juaa ke aalaat me nahi hota hai to shart ke be ghair khel sakte hain


(ba motaabiq mas'ala aayatullaah sistasni )


Note :


shatranj ke motalliq mazid maalumaat ke liae niche diae ga'ae jawaab ko molaaheza farma len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


7 / محرم الحرام / 1442ھ.ق


Recommended


No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen