urdu me padhne ke liae click here
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
Guzishta zamaane me baar bardaar gadhe ko tez chalaane ke liae aek lambi lakdi par gaajar baandh dete the aur khud ousi par ouski aankhon ke saamne latka dete the gaajar khaane ke liae gadhe ki raftaar badh jaati thi jaiyse jaiyse ye gadha aage badhta tha ous ke saamne ki gaajar bhi aage badhti rahti thi
Jab gaajar ko haasil karne me gadha thak kar ruk jaata tha to laathi wa taaziyaane se ous ko maarte the taake na ruke
is ko kahte hain dhamki, fareb aur laalach ki seyaasat wa policy
Haqiqat me is waqt bhi dunya ki zaalim wa jaabir aur khaa'aen hokumaten is policy wa seyaasat par amal paira hain
Bare saghir ki hokumaton ne bhi laathi aur gaajar ka tariqa aekhteyaar kiya hai
laathi aur gaajar ke is daure pur'aashob me keya ham mar'oub ho kar apne osuli mauqif wa policy ko badal den ? apne hoquq se chashm poshi kar len ? apne mosallamus sobut aqaa'aed se pichhe hat jaa'aen ? Rasule Khoda aur Ahlebaite Rasul (صلوات الله عليهم) ke dushmano jaiyse Abu Sufyaan, Mo'aawiya ... ki mazammat karne waalon ko mujrim qaraar den ya in ke haamiyon ko ? zaalim wa kha'aen hokumaton aur dahshat gard geroh ke sharaa'aet ko taslim kar len ? ya phir eilmi wa fikri aur har aetebaar se in ka moqaabala karne ke liae taiy'yaar rahen ?
Dhamki se mar'oub ho kar ya laalach me aa kar agar koei shakhs apne eimaan wa osulon ka sauda kare aur zaalim wa kha'aen hokumaton wa dahshat gard aur mazhabi zahar ugalne waale geroh ke jhaanse me aa kar ous ke daame fareb me phans jaa'ae to ous ki misaal mazkura baala daastaan ki hai
Jab apni koei baat nahi manwa sakte hain to oun ki bhi har baat na maane
Abu Sufyaan, Mo'aawiya aur in ke maanind logon ko maanne ka natija ye hai ke abhi tak qibla'ae awwal aazaad na ho saka aur har jagah musalmaano ki tahqir ki jaa rahi hai, agar in ko sunni musalmaano se mohabbat wa hamdardi hoti to Palestine waghairah me hamaare sunni bhaa'eiyon par har roz wahshiyaana hamla na hota oun ke moqaddasaat ki tauheen na hoti ...
Zamir farosh aur ghaddaar wa kha'aen musalmaan hokumaten wa geroh apna saara zor shi'on ko kuchalne me lagaate hain aur islaam ke asli dushman ke talwe chaat'te hain
Darakht apne phal se pahchaana jaata hai aiyse log apne kartut wa amal se pahchaane jaate hain ke kis ke maanne waale hain
Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :
كُن فِى الفِتنَةِ كَاِبنِ اللَّبُونِ لَا ظَهر فَيُركَبَ وَ لَا ضَرع فَيُحلَبَ
Mafhum : fitne ke daur me ount ke ous bach'che ki tarah ho jaao jis ki pith is qaabil nahi hai ke ous par sawaari ki jaa sake aur na hi pistaan wa dudh hai ke duhaa jaa sake
(Nahjul balaagha hikmat-1)
Is me paiyghaam ye hai ke jab do baatil geroh jaise "Abdul Malik wa Ibne Zobair" ya "Hajjaj wa Ibne Ash'as" ya "Marwaan wa Zah'haak" ya "Banu Oumaiy'yah wa Banu Abbas" ya RSS wa tablighi jamaa'at ... ke darmeyaan jang wa fitna barpaa ho to khaamosh wa saakit raho, ount ke bach'che ki tarah ho jaao taake koei tum se su"ae istefaada na kar sake
lekin agar haqqo baatil ke darmeyaan jang wa fitna ho jaiysa ke jange siffin ya jange jamal ya jange nahrawaan me hua ya asre haazir me waqt ke khawaarij ... aur dahshat gard tanzimo ka fitna, to yahaan khaamoshi wa sokut aur ount ke bach'che ki tarah ho jaana jaa'aez nahi hai
Is liae ke fitna wa jang haqqo baatil ke darmeyaan hai do baatil geroh ke darmeyaan nahi jab jang wa fitna haqqo baatil ke darmeyaan ho to ghair jaanib daar wa betarafi ki rawish aekhteyaar karne ka koei matlab wa jawaaz nahi
Kam az kam monaazara ka baab khulnaa chaahiae taake maalum ho jaa'ae haq par kaun hai aur baatil par kaun ? Ghadiri raasta sahi hai ya saqifi ? Jange jamal me haq par kaun tha ? Ya qaatil wa maqtul dono ach'chhe hain ya oun me se koei aek ?
Amirul Momeneen Ali (عليه السلام) ka qaatil yaani aap ka amir mo'aawiya ach'chha hai ya aap ke chauthe khalifa ?
Aap hi ki ketaabon se baaz sahaaba ki haqiqat beyaan karne waale aap ki nazar me kaafir hain lekin As'haabe Rasul (صلى الله عليه و آله) ke qaatelin "razeyallaah anho"...!!!
aayaat aur motabar ahaadis ko nazar andaaz karte huae ye aqli baat hai ke safedi wa seyaahi dono aek jagah jamaa nahi ho sakte
aekhtetaam par waazeh andaaz me ye arz kar dun ke jin logon ne bhi Ahlebaite Rasule Khoda (صلوات الله عليهم) ko aziyat wa taklif pahunchaa'ei hai ... oun ki tauheen nahi karenge lekin kabhi bhi kisi bhi haalat me wo hamaare nazdik mohtaram nahi ho sakte
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
Khaadim-e-edaara-e-darul itrat
17 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
This article transliterated by Saiyed Mohammad Tabish from urdu to roman urdu
No comments:
Comment