Salaamun Alaikum.
Karbala Ke Zameen Par Imaam Ka Rehwar Aa Kar Rukh Gaya Tha, Is Tarah Moula Ne Kai Rehwar Badle The, Imaam Ne Itne Rehwar Kyun Badle?
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهIs liae ke koei bhi ghoda (گھوڑا) aage nahi badh Raha tha
Naql huaa hai ke jab imaam Hussain ( علیہ السلام) Karbala pahunche to puchha is sar-zameen ka naam keya hai ?..... jab Karbala ka naam suna to farmaaya:-
Is jagah hamko Shaheed kiya jaa'aega ...
Imaam (علیہ السلام) Ko maalum tha ke is sar-zameen ka naam Karbala hai is liye ke imaamo ( سلام اللہ علیہم) Ko baaton ka ilm hota haiPuchne ke mokhtalif asbaab ho sakte hain. momkin hai imaam (علیہ السلام) mutma'in hona chaahte the ke ham us jagah pahunch ga'ae hain ya nahin ? Jahaan Shaheed hone ... ki khabar di gaei hai
Misaal ke taur par agar koi mosaafir apni manzil wa maqsad tak pahunch jaata hai tab bhi itminaan ki khatir Sawaal karta hai ke ye kon si jagah hai ? Keya jahaan Jaana tha wahaan pahunch gaye ?
Ehtemaal hai puchne ki ek wajah ye hoYaa shaayad imaam Hussain (علیہ السلام) ke puchne ka koi aur sabab ya asbaab hon unka zikr taarikh ya hadees me nahi Kiya gaya hai chhut gaya hai ya qalam-band nahi kiya gaya hai
والسلام
Syed Shamshad Ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim-Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat qum Iran
۔4 /محرم /1441 ھ۔ق
No comments:
Comment