sawaal az : 937947....
سلام علیکم
ek insaan ka اعضا yaani badn ka koi bhi hissa maslan dil, kidni, etc.
kya dusre ko de sakte hain ? agha sistani ka kya nazriya hai
jawaab darkar.
waslam
jawaab
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسن و على اصحاب الحسين
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
zinda insaan ke kisi ouzw ( عضو ) ko paiwand kaari ( پیوند کاری ) ke liae nikaalne ya kaatne ki surat me agar aaza atiyah karne waale shakhs ko koei bada noqsaan pahunche jaiyse aankh ya haath wagairah juda karna, to jaa'aez nahi hai haraam hai
lekin agar koei bada noqsaan na pahunche jaiyse khaal ya donon gurda ( kidney ) saalim hone ki surat me aek gurda den to jaa'aez hai ba sharte ke saahebe ouzw ki reza mandi ho
Note :
agar atiyah karne waala bach'cha ya majnun ya murda ya kaafir ... hai to is ke mota'alliq tafsilaat hain
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔18 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
Recommendation
No comments:
Comment