Salamun Alakum Maulana sb.
ek masle k silsile me aapko zahmat diya
masla ye puchna tha ke jo machli (fish) hum nai khate ya haram hai hamare liye usko kya hum bech (sell) sakte hai business point of view se..jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسينharaam gosht machli ki farokht wa tejaarat me agar koei halaal man'fa'at wa faa'aeda ho to haraj nahi hai
(ba motaabiq fatwa aayatullah sistaani )
Note :
Halaal manfa'at :
jaiyse maweshiyon ( مویشیوں ) our charind wa parind ki khoraak ya khaad saazi ya san'ati istemaal ( industrial use ) ...
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
13 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment