Sawaal az :.....
Salamunaleykum
Mai covid patient hu
Kuch sawal hai mere
covid centre me toilet ke intezam sahi nahi hote hai khud ko paak rakhna mushkil hota hai taharat bhi sahi tarike se nahi le pate
Is halat mai dua, sura, ziyarat kaise padhe Kya bina taharat ke padh sakte hai
Plz ans jldi de
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسین
qur'aan aur doa wa zeyaarat padhne ke liae badan ya lebaas ka paak hona zaruri nahi hai (namaaz padhne ke liae badan aur lebaas ka paak hona zaruri hai) lehaaza padh sakte hain lekin kheyaal rakhen ke qur'aan aur doa wa zeyaarat ki ketaab najis na ho aur tahaarat (yaani ghusl ya wozu ya tayam'mum) ke beghair aayaate qur'aan khoda ka naam aur maasumin (صلوات الله عليهم) ke asmaa'ae mobaarak ko mas na karen
albatta qur'aan hakim ki telaawat aur doa wa zeyaarat padhne ke aadaab me se ye hai ke badan wa lebaas paak aur saaf ho aur tahaarat ke saath ho.
Note :
agar najis badan ya lebaas ke saath namaaz padhne par majbur wa laa chaar hain to padh sakte hain is surat me paak hona zaruri nahi hai
خدا بحق محمد و آل محمد و شہدائے کربلا (سلام الله عليهم ) شفاء کاملہ و عاجلہ عطا فرمائے
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
16 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
Recommended
COVID-19 centre me ghusl kaiyse karen | namaaz | qur'aan | doa | zeyaarat padhne ka hukm
No comments:
Comment