Sawaal az : .....
Salamunaleykum
Jaise ki mene apse pahle bhi bataya tha ki mai covid centre mai hu usi se related ek question aur hai mera
Agr gusl-e-janabat wajib ho jaaye aur yaha nahaane ka sahi intezaam nahi ho to kya kare kaise dua ziyarte sura padhe
Yaha nahaane ka hisab nahi hai bina undr wear utare nahi naha sakte aur sara pani balti mai girta rahta hai jab nahaate hai
Plz mujhe jldi ans de
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
hammaam ke be'ghair bhi ghusl kar sakte hain aur ghusl ke liae underwear outaarna zaruri nahi hai ous ko pahne huae bhi ghusl kar sakte hain ba'sharte ke pure badan ke zaaheri hisson par paani pahunch jaa'ae
agar underwear najis hai to pahle asl najaasat ko bar'taraf wa dur kar len phir paani se ous ko aur jism ko paak kar len tab ghusl karen
baalti me paani girne se ghusl par koei farq nahi pade ga
agar baalti ka paani najis hai to ous se ghusl ya wozu nahi kar sakte hain
bahar'kaif agar ghusl ke asbaab moyas'sar na hon aur ghusl karna momkin nahi hai to tayam'mum kar ke namaaz ada karen
ghusl ke be'ghair doa, zeyaarat aur waajib aayaate sajdah ke aelaawah qur'aan bhi padh sakte hain
( is hawaale se pahle bataaya jaa chuka hai )
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
- ghusl karte waqt agar baalti me chhinten paden to keya ous ka paani najis ho jaae ga ?
- kis surat me paani ki chhinten najis hain ? | najaasat ki tashkhis kaise karen ?
خدا بحق معصومین اور شہدائے کربلا (سلام الله عليهم ) آپ کو شفاء كاملہ اور عاجلہ عطا فرمائے
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
22 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment