Sawaal az :.....
Salaamunalaik Agah,
Main kaafi arse se beemar hu shifa nahi milti, kisi Aleem se suna ki gosht ke teen chaar tukde jism se utaar kar sadqa kare. Mera sawal ye hai ki ye sadqa kise diya jaye? Ayaa kisi insaan ko? Yaa kisi janwar ko?
Wasslaam
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
rewaayaat se istefaada hota hai aur sefaarish bhi ki gaei hai ke nazare bad aur bala, mushkil, bimaari waghairah ko dur wa bar taraf karne aur sehato salaamti ke liae qurbaani karen
aur ous ka gosht zarurat mandon aur foqara tak ba'taure sadqah (sadqah ki niyat se) pahuncha'aen
aur haj ki qurbaani ki tarah ous me se aek hissa khud istemaal karen is me koei haraj nahi hai ya rishtedaaron me baant den
Note :
kaun se jaanwar ki qurbaani karni chaa'hiae ? yaani qurbaani ka misdaaq :
qurbaani ka misdaaq gosfand, bakri, bakra ya is se bade jaanwar hain yaani gosfand ... ya is se bade jaanwar ki qurbaani karni chaa'hiae
charind wa parind qurbaani ke misdaaq me se nahi hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
20 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment