keya auraton ke saamne pith | sina khol kar maatam kar sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, September 7, 2020

keya auraton ke saamne pith | sina khol kar maatam kar sakte hain ?

sawaal az : +9190263....

Salam Alikum

Mera Ek Sawal Hai


Kya Ham Aurto ke Saamne Nangi Pith Maatam Kar Sakte hain ?


jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ji pith (پیٹھ ) wa sina khol kar , kar sakte hain

auraton par waajib hai ke naa mahram ke badan ko na dekhen oun ke badan ki taraf negaah karna haraam hai


albatta agar lazzat ka aeraada na ho aur gunaah me padne ka andesha bhi na ho to baazu aur kohniyon ( کہنیوں ) ki taraf dekhne me koei haraj nahi hai


( aayatullaah sistaani ke fatwe ke motaabiq )


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔24 / رمضان الكريم / 1440ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen