Sawaal az : mohtarama janaab Nigar fatma sb.
Salaam alaikum....
jo ye youtube par majlise padh ke zaakiraaen daal rahi hain uska kiya hukm hai. Jaise ek zaakira hain zakiya btool wo chehra khula hota hai aur majlis padhti hain aur media par samne aati hain har firqa har qom waha dekh sakti hai us tarha padhne ka kiya hukm hai ? Plz jawab Aagae seestani sahab AR ke fatwe ke mutabiq hona chahiye...
Jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن لحسین
و على اولاد الحسین و على اصحاب الحسین
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
online ho ya video cyberspace (jaiyse youtube ya social media waghairah) par nashr karna wa daalna (viral karna) haraam nahi hai
albatta agar tahrik (ouksaahat) ya fitne (fasaad) eijaad karne ka sabab bane ya mazhab ki tauhin ho aur ous ko logon ki negaahon me chhota banaa'ae to benaabar aehteyaate waajib jaa'aez nahi hai, haraam hai
bahar kaif agar tahrik waghairah ka sabab na bane tab bhi anjaam dene se parhez karna behtar hai
Note :
- tahrik, fitna aur tauhine mazhab ... ka sabab hai ya nahi ? is ki tash'khis karna ourf ke zimme hai
- behtar hai niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farmaa len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
۔3 / صفر / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment