Assalam o alaikum
Swal yeh hai ke mujh se ghalti se khak-e-shifa niche gir gaei aur bohot chhote chhote zarrey me tooti ....azaala kaise karu is ghalti ka aur 2sra sawaal ye ke aisa keya mere kisi gunaah ki wajah se huwa???jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
koei aezaala aur kaffaarah nahi hai agar ghalati se gir jaae to ous ko fauran outha kar aehteraam karen kaafi hai
ous ke zarraat ko yakjaa karke dobaara sajdegaah bana sakti hain ya nadi me daal den ya monaasib jagah qabr ( گڑھا ) khod kar ous me dafn kar dengunaahon ke sarzad hone ki wajah se nahi hai balke ghalati se. bela qasd wa aeraada giri hai eisi liae ous par moaakheza ( مؤاخذه ) bhi nahi hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
23 / محرم الحرام / 1442ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment