Salamun Alaikum
Janabe Hajra (s.a) ke waledain ka kya naam hai ?
Iska jawaab kisi Wikipedia me nhi mila bohot talash kiya
jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
hadis aur taarikh ki ketaab me is ke baare me dekha mujhe nahi mila ba zaahir kisi motabar ketaab me zikr nahi hai
imaam saadiq ( عليه السلام ) se marwi aek tafsili rewaayat ka khulaasa ye hai :
... janaabe ibraahim ko aag me daala gaya lekin khoda ke hukm se aatishe namrud gulzaar ho gaei to namrud ne aap ko mulk badar kar diya , aap janaabe saara ke hamraah dusre mulk chale gae
ous mulk ka baadshaah qibtiyon ( قبطیوں ) me se tha jis ka naam " araarah = عَرَارَة " thajab ous ne suna ke hazrat ibraahim ki biwi " saara " badi khubsurat hain to oun ko apne darbaar me bolaa kar janaabe ibraahim se pucha ye kaun hain ?
hazrat ibraahim ne farmaaya :
ye meri biwi wa khaala zaad bahen hain ( janaabe saara aap ki khaala zaad bahen bhi thin )
janaabe saara par jaiyse hi ous ki nazar padi to khud ko nahi rok paaya ous ki aql-o-kherad par ous ki hemaaqat ghaalib aa gaei aur hazrate saara ki taraf apna haath badhaaya ...
janaabe ibraahim bahot ghairat karne waale the lehaaza baargaahe khoda me doa ki " ُاَللَّهُمَّ اَحبِس يَدَه عَن حُرمَتِى وَ اِبنَةِ خَالَتِى " khodaaya is ke haath ko meri biwi wa khaala zaad bahen se rok de
jaiyse hi ye kaha ous ka haath fauran khushk ho gaya ...
ous ne pucha waaqe'an aap ke khoda ne mere saath aiysa kiya ? janaabe ibraahim ne kaha ji haan beshak mera khoda ghayur ( غيور = bahot ghairat karne waala ) hai haraam ko pasand nahi karta hai ...
baadshaah ne kaha apne khoda se kahiae mera haath pahle ki tarah kar de agar ach'chha ho gaya to ta'arruz nahi karun ga
janaabe ibraahim ne doa ki ous ka haath ach'chha ho gaya
jab ach'chha ho gaya to bad niyat haakim ne dobaara janaabe saara ki taraf haath badhaaya janaabe ibraahim ki bad doa se phir ous ka haath khushk ho gaya ous ne janaabe ibraahim se kaha :be shak aap ka khoda ghayur hai aur aap bhi ghayur hain
apne khoda se kahiae mera haath ach'chha kar de janaabe ibraahim ne farmaaya is shart ke saath doa karunga ke phir aiysi harkat na karo aur dobaara doa karne ke liae na kaho baadshaah ne qabul kar liya to janaabe ibraahim ne kaha :
ay khoda agar ye sach'cha hai to is ke haath ko ach'chha kar de
doa qabul huei aur haath ach'cha ho gaya
naamus ke hawaale se janaabe ibraahim ki ghaiyrat sur is karaamat se baadshaah bahot mota'assir huaa aur dar bhi gaya ...
aap se kaha jahaan jaana chaahte hain chale jaaen
lekin aap se aek darkhaast hai ouse qabul farmaa len. hazrat ibraahim ne pucha wo keya hai ? ous ne kaha mere paas aek qibti ladki hai jo khubsurat aur aaqela hai ous ko ba taure tohfa app ki biwi ko pesh karna chaahta hun janaabe ibraahim ne ous ki ye darkhaast qabul kar li to ous ladki ko janaabe saara ki khidmat me hadiyah kiya
ous ladki ka naam " haajar = هَاجَر " tha ...
mokhtasar ye ke baadshaah ne in hazaraat ko aehteraam ke saath wahaan se khud rokhsat kiya aur eimaan bhi le aaya
hazrat ibraahim janaabe saara aur janaabe haajara ke saath misr se shaam tashrif laae
aek muddat tak janaabe saara se koei aulaad nahi huei thi is sabab se aap ne haajara ko janaabe ibraahim ki zaujiyat me de diya jis ke baad janaabe haajara ke batn se janaabe ismaaeil paiyda huae
(foruae kaafi " rauzatul kaafi " jild 8 p 304 baab 560 )
mazkura baala waaqeaa ka zikr kuch farq ke saath sunniyon ki mash'hur ketaabon jaiyse sahih bokhaari me bhi hai
albatta oun ketaabon me kuch qaabile aeteraaz baaten bhi hain oun ko nazar andaaz karte huae sirf aek ketaab ka hawaala diya jaa raha hi
( al kaamil fit taarikh jild 1 p 88 ibne asir )
Note :
1. aek rewaayat ke motaabiq janaabe haajara baadshaahe misr ki beti thin baaz afraad ki jaanib se baadshaahe misr ( janaabe haajara ke waalid ) ke khelaaf outhne waali baghaawat me aap asir ho kar misr ke na'ae baadshaah ki kanizi me aa gaei thin ousi ne janaabe saara ko ba taure tohfa diya
2. asl lafz " haajar = هَاجَر " hai jis ko haajara = هَاجَره " padha aur likha jaata hai
3. ketaabon me naam ka zikr ho ya na ho koei farq nahi padta , bahot saari baaton ka zikr ketaabon me nahi hai lekin ye mosallamus sobut hai ke janaabe haajara ka ta'alluq aala khaandaan se tha aur aap intehaaei paak daaman aur momena thin
tabhi to rasule khoda aur amirul momenin ali ... ( صلوات الله و سلامه عليهم) ki daadi qaraar paaein
shia hazaraat zeyaaraton me bhi hamesha padhte hain: aap hazaraat ka nur ... paak-o-taahir sulbon wa arhaam me muntaqil hota raha ...
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
6 / صفر / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment