Taaziya | turbat ka matlab | keya taaziya ki jagah turbat rakh sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, August 26, 2020

Taaziya | turbat ka matlab | keya taaziya ki jagah turbat rakh sakte hain ?

sawaal az : mohtaram janaab lucky rizvi sb

Taziye ki jagah agar Turbat ki Sabih Imam Hussain a.s ki rakhi jaye to kyap gunah to nhi hoga..
Taziye aur Turbat me kya farq hai....??

jawaab :


باسمه تعالى
*السلام على الحسين و على على ابن الحسين*
*وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين*
سلام عليكم


koei haraj nahi hai

Taaziyah ke loghawi maani :

kisi ke marne par sabr ki talqin our izhaare hamdardi karna wa tasalli dena

barre sagir me imaam husain ( عليه السلام ) se mohabbat wa aqidat rakhne waalon ke nazdik :

shahide karbala imaam husain ( عليه السلام ) ke rauzae mobaarak our turbat ki naql wa shabih jo moharram me ba taure yaadgaar our gham o sog ki alaamat ke taur par jolus waghairah ki shakl me nikaalte hain

ous ko sone , chaandi , lakdi , baans our kaagaz waghairah se banaate hain

banaawat our wazn ke aetebaar se farq hai our mokhtalif aqsaam bhi hain

baaz aelaaqon me aetna bada banaate hain ke ous ko outhaane ke liae taqriban 50 se 60 afraad ki zarurat hoti hai

taaziya hindu muslim yak jehti ki behtarin misaal bhi hai

Turbat ke loghawi wa asli maani :

khaak wa mitti hai
majaazan ( ghair haqiqi maani , asl maani ki monaasebat ke saath ) maqbarah , insaan ki qabr , lahad , marqad our zarih waghairah ko kahte hain

shion ke nazdik :

turbat ka raa'aej wa mash'hur misdaaq wo paak khaak hai jo mazlume karbala imaam husain ( عليه السلام ) ki khud qabre moqaddas ke oupar ya ous ke atraaf se outha li jaati hai
ous ko turbate karbala , turbate imaam husain ( عليه السلام ) our khaake shefa bhi kahte hain

Barre sagir me imaam husain ( عليه السلام ) se mohabbat wa aqidat rakhne waalon ke nazdik :

shahide karbala imaam husain ( عليه السلام ) ki qabre mobaarak wa zarih ki wo naql wa shabih jo aashurae moharram ... ke mauqe par taaziyon par banaaei jaati hai


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

۔6 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen