keya khud koshi ( suicide ) karne waala jannat me jaae ga ? | is ka azaab | shafaa'at - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, August 18, 2020

keya khud koshi ( suicide ) karne waala jannat me jaae ga ? | is ka azaab | shafaa'at

sawaal az : ............

As Salamo Alaikum

Suicide ( khudkhushi ) karna vale ko kya imam ki shifa'at milega . Aur kya suicide karne vala jannat me ja sakta h ? kya uske aamal ( namaz , roza ) sab waste ho jayenge ya aamal k zariye shifa'at milega ? Agar koi ye hi soch kar mar jaye ke imam bacha lenge uska kya hoga ? Aur suicide ke azaab ke bare me bhi bata dijiyega .

jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا 
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar ous me darj zail sharaa'aet wa sefaat hon to shafaa'at kar sakte hain :

khoda ka sharik qaraar na diya ho , aekhlaas ke saath shahaadatain ka aeqraar kiya ho ...
ahle baite rasul ( صلوات الله عليهم ) ka dushman nahi tha aur oun se mohabbat karta tha

aek jumle me arz kar dun agar is dunya se baa eimaan gaya hai to shafa'at kar sakte hain
is liae ke khud koshi kufr nahi hai balke bela shubha kabira gunaah hai aur momin gunaahe kabira ke irtekaab se kaafir nahi hota , jo shakhs daaera'ae islaam wa eimaan se khaarij nahi hota ous ke liae shafaa'at ka imkaan hai
naa oummid nahi hona chaahiae

rasule khoda ( صلى الله عليه و آله ) se marwi hai :


 ... اِنَّمَا شَفَاعَتِى لِاَهلِ الكَبَائِرِ مِن اُمَّتِى


" meri oummat me jo log kabira gunaah ke murtakib huae meri shafa'at sirf oun ke liae hogi ... "

(oyuno akhbaarir reza عليه السلام jild 1 p 136 )

aap ki shafa'at kabira gunaah karne waalon se makhsus hai

ba zaahir is ka sabab ye hai ke khoda ne saraahat ke saath waada kiya hai ke agar insaan bade gunaahon se ijtenaab kare to chhote gunaahon ko moaaf kar denge

( nesa 31 )

lehaaza bade gunaah karne waalon ke liae shafa'at ki zarurat hai

jo sharaa'aet wa sefaat shafaa'at ke mota'alliq bataae gae jaiyse kufr se paak hona ... agar wo ous me thin to jahannam me saza kaatne ke baad jannat me bhej diya jaae ga

agar momin tha to ous ke aamaal habt wa naa bud nahi hon ge ous ka ajr-o-sawaab mile ga انشاءالله

ye soch kar khud koshi kar le ke imaam ( عليه السلام ) bacha len ge

is baat par bharosa kar ke gunaahe kabira karne waala sakht bhul ka shekaar hai is liae ke kabira gunaah karne se kahin kufr par maut na ho jaae aur jahannam hamesha ous ka thekaana qaraar paae
is liae ke khoda ke azaab se be khabar ho jaane waala noqsaan outhaane waala hai

surah aaraaf 99 me hai :

" ... allaah ki tadbir ( pakad ) se to faqat khasaare me padne waale log be khauf hote hain "

dusre ye ke sirf khud koshi aiysa gunaah hai jis ke baad tauba wa pashimaani ka mauqa nahi milta


اب تو گھبرا کے یہ کہتے ہیں کہ مر جائیں گے
مر کے بھی چین نہ پایا تو کدھر جائیں گے

ab to ghabra ke ye kahte hain ke mar jaaen ge
mar ke bhi chain na paaya to kidhar jaaen ge


khud koshi ka azaab :

aayaat aur rewaayaat se istefaada hota hai ke kud koshi kabirah gunaah hai , khud koshi karna haraam hai aur ous ka thekaana jahannam hai

surah nesa 29 me hai :


 ... لَا تَقتُلُوا اَنفُسَكُم ... 

" ... apne aap ko qatl ( khud koshi ) na karo ... "

aayat 30 me hai :

aur jo shakhs zulm wa zeyaadti se aiysa kare ga ham ouse jahannam ki aag me jhulsa den ge ... "

imaam saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :


مَن قَتَلَ نَفسَهُ مُتَعَمِّداََ فَهُوَ فِى نَارِ جَهَنَّمَ خَالِداََ فِيهَا


" jo shakhs khud ko jaan bujh kar qatl ( khud koshi ) kare to wo jahannam ki aag me hamesha rahe ga "

( foru'ae kaafi jild 7 p 47 ketaabul wasaaya / man laa yahzarohul faqih jild 3 p 374 baab 179 / jild 4 p 69 baab 19 )

zaruri wazaahat :

jahannam me kholud ( hamesh'gi , dawaam ) ke mota'alliq motakallemeen ( eilme kalaam ke maahir ) , mofassereen , falaasefa aur orafa ke darmeyaan tafsili bahs hai intehaaei aekhtesaar ke saath bata dun ke kholud ke 2 maani hain :

(1) tulaani

(2) abadi wa hamesh'gi

agar kholud ka matlab abadi wa hamesh'gi maan len to ye kaafir wa mushrik ... ke liae hai

gunaahe kabira karne waale momin wa mohibbe ali ( عليه السلام ) ke liae abadi wa daaemi azaab wa kholud nahi hai
balke momin ke liae kholud se moraad tulaani muddat hai yaani gunaah ke tanaasub se kuch muddat tak jahannam me saza kaat kar jannat me laaya jaae ga

Dunyaawi misaal :

oumr qaid ki saza paane waale 2 tarah ke hain
aek ke liae qaid taa hayaat hai
dusre ko kuch muddat wa saal tak jail me guzaarne wa saza paane ke baad reha kar diya jaata hai

isi ke moshaabeh jahannam me kaafir wa momin ke liae kholud hai yaani kaafir jahannam me hamesha rahe ga aur momin kuchh muddat tak saza bhogatne ( بھگتنے ) ke baad jannat me daakhil kar diya jaae ga

insaan ka apna jism aur zindagi ous ki zaati milkiyat nahi hai balke khoda ki ata karda nemaat wa amaanat hai , maalike haqiqi khoda hai , insaan apne jism ka haqiqi maalik nahi hai lehaaza ouse aekhteyaar nahi hai ke apne jism ko noqsaan pahunchaae isi liae hatta shar'ei masaa'ael wa aebaadaat me bhi hukm diya gaya hai ke agar paani noqsaan kare to wozu na karo ya roza rakhne se bimaari ka andesha ho to roza rakhna jaa'aez nahi hai ...

jab ham ko jism ke tahaffuz ka hukm diya gaya hai hatta maal ki hefaazat ke liae bhi kaha gaya hai ham apne maal ko nazre aatish nahi kar sakte hain
to badarja'ae aula khud apni jaan talaf karne ki hargiz aejaazat nahi hai
lehaaza " mera jism meri marzi " meri jaan meri marzi " ka naara ilhaadi hai ye naara mulhedeen ka hai , islaam me is ki koei gunjaa'eish nahi hai

aakhir me ye bhi arz kar dun ke kisi ne khud koshi ka aeqdaam kiya lekin kaamyaab nahi huaa ya demaaghi kharaabi ki wajah se khud koshi ki ya aekhteyaar se baahar ho jaane ki wajah se ki ... to feqhi aetebaar se har aek ka hukm alag hai is jurm ki shiddat aur is ka gunaah haalaat ke madde nazar mokhtalif hota hai

khud koshi ke awaamil wa asbaab keya hain ? jis ki wajah se khud koshi ko zindagi par tarjih deta hai aur apni zindagi ka khaatema kar leta hai
keya demaaghi taur par bimaar tha ya laa aelaaj bimaari thi ya aeqtesaadi mushkelaat thin ya eishq me naa kaami ... ?
ous ke ghar waale our aziz-o-aqaarib ko ketna noqsaan pahunchta hai ? aur kin nataa'aej se dochaar hote hain ?
is ke mota'alliq tafsilaat hain

bahar kaif ye tay hai ke khaah kuch bhi ho jaae haqiqi shia wa momin khud koshi nahi kar sakta hai is liae ke khud koshi gunaahe kabirah wa haraam hai

khud koshi buzdeli hai aur momin ki shaan ke khelaaf bhi
moaashere me masaa'ael aur parishaaniyaan zarur badh gaei hain

lekin aek momin ko maasumin ( صلوات الله عليهم ) ke zariae khoda se madad talab karte huae himmat wa hausale se oun ka moqaabala karna chaahiae

na ke himmat haar ke apni zindagi ka khaatema kar le aur pas maandagaan ko bhi mazid parishaaniyon ka shekaar bana de

momin kabhi bhi maayusi aur qonutiyat ka shekaar nahi hota

Qadre tafsili rewaayat me imaam baaqir ( عليه السلام ) ka irshaad hai :


۔... اِنَّ المُومِنَ يُبتَلَى بِكُلِّ بَلِيَّةِِ وَ يَمُوتُ بِكُلِّ مِيتَةِِ اِلَّا اَنَّهُ لَا يَقتُلُ نَفسَهُ


" ... momin har mosibat wa bala me mubtala hota hai aur har tarah ki maut se marta hai lekin khud koshi nahi karta hai "

( osule kaafi jild 2 p 254 h 12 ketaabul eimaan wal kufr )

Note :

do sawaalon ka jawaab baad me diya jaae ga انشاءالله


والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

27 / ذى الحجه / 1441 ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen