Sawaal Az : Mohtaram Janaab Syed Mohd Saif Abbas Sb From India (U.P)
Salamun Alaikum Agha !
Question - Arz hai... Kya Parindo ko ghar mein paal sakte hai ?
Kaun se Parindey paalna jayez hai aur kaun se nahi ?
Wassalam...!!
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Ji ghar me parinde rakhna aur oun ko paalna shar'an jaa'aez hai
shar (شرع) me is ki momaana'at nahi ki gaei hai basharte ke oun ke naano nafqah ka kheyaal rakhe masalan oun ki khoraak, rehaaeish ... ka intezaam monaasib taur par kiya jaa'ae, oun ko aazaaro aziyat na de aur oun ko paalne me kisi dusre shakhs ko taklif na pahunche
Dusre pahlu'on (پہلوؤں) ko madde nazar rakhe beghair har tarah ka parindah paal sakte hain mobaah hai
agar paalne me maaqul maaddi wa maanawi faa'aeda ho to na sirf ye ke mobaah wa jaa'aez hai balke behtar hai
Rawaayaat me baaz makhsus jaanwaron ko paalne ki sefaarish ki gaei hai jaiyse Kabutar, Murghi, Murgha khosusan Safed Murgh, Gosfand aur dudh dene waali Gaa'ae aur Bakri
Kabutar :
Is ko paalne ke baaz faa'aede molaaheza farmaa'aen :
Jis ghar me Kabutar ho to wo ghar shayaatin aur jin ke shar wa aaseb se mahfuz rahe ga
- Imaam Saadiq (عليه السلام) se manqul hai :
- Imaam Saadiq (عليه السلام) se rewaayat hai :
- Imaam Husain (عليه السلام) ke qaatelin par laanat karta hai :
"لَيْسَ مِنْ بَيْتٍ فِيهِ حَمَامٌ إِلَّا لَمْ يُصِبْ أَهْلَ ذَلِكَ الْبَيْتِ آفَةٌ مِنَ الْجِنِّ إِنَّ سُفَهَاءَ الْجِنِّ يَعْبَثُونَ فِي الْبَيْتِ فَيَعْبَثُونَ بِالْحَمَامِ وَ يَتْرُكُونَ الْإِنْسَانَ"
Tarjoma Wa Mafhum :
"jis ghar me bhi Kabutar ho to ous ghar ke afraad par jin ke aaseb ka asar nahi hoga is liae ke bewaquf jin ghar me khelte hain (noqsaan pahunchaana chaahate hain lekin ghar me Kabutar hone ki wajah se wo) Kabutar se khelne me mashghul ho jaate hain aur insaan ko chhod dete hain"
(foruae kaafi - jild 6 - p 546 - ketaabud dawaajin baabul hamaam - h 5)
إِنَّ حَفِيفَ أَجْنِحَةِ الْحَمَامِ لَتَطْرُدُ الشَّيَاطِينَ.
Tarjoma Wa Mafhum :
"Kabutar ke baazu phad phadaane (پھڑ پھڑانے) ki haalat me paiyda hone waali aawaaz shaitaan ko dur karti hai"
(foruae kaafi - jild 6 - p 547 - ketaabud dawaajin baabul hamaam h - 11 aur 17)
Daa'aud Bin Farqad se marwi hai :
كُنْتُ جَالِساً فِي بَيْتِ أَبِي عَبْدِ اللَّهِ ع فَنَظَرْتُ إِلَى حَمَامٍ رَاعِبِيٍ يُقَرْقِرُ طَوِيلًا فَنَظَرَ إِلَيَّ أَبُو عَبْدِ اللَّهِ ع فَقَالَ يَا دَاوُدُ تَدْرِي مَا يَقُولُ هَذَا الطَّيْرُ قُلْتُ لَا وَ اللَّهِ جُعِلْتُ فِدَاكَ قَالَ يَدْعُو عَلَى قَتَلَةِ الْحُسَيْنِ ع فَاتَّخِذُوا فِي مَنَازِلِكُمْ.
Tarjoma Wa Mafhum :
Main Imaam Saadiq (عليه السلام) ke ghar me baitha tha, aap ke ghar me Raa'aebi Kabutar (راعبی کبوتر) ko dekha ke bahot der se ghatar ghun (غٹر غوں) kar raha hai
Imaam (عليه السلام) ne meri taraf dekha aur farmaaya ; ay Daa'aud jaante ho ye parinda keya kah raha hai ?
to me ne kaha ; khoda ki qasam nahi aap par qurbaan ho jaa'oun
Imaam ( عليه السلام) ne farmaaya :
"Imaam Husain (عليه السلام) ke qaatilon par nafrin wa laanat kar raha hai ous (Raa'aebi Kabutar) ko apne gharon me rakho"
(foruae kaafi - jild 6 - p 547 - ketaabud dawaajin baabul hamaam - h 10 aur 13)
Raa'aebi kabutar :
Kabutar ki aek qism hai, shaayad ous Kabutar ko kahte hain jis ke pairon par "par (baal)" hote hain, bahot zeyaadah parwaaz nahi karta hai
Raa'aebi Kabutar paalna behtar hai lekin agar ye na mile to dusri nasl ke Kabutar paal sakte hain
agar joda (nar wa maadah) saath paalen to behtar hai
Murgh :
- Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) se marwi hai :
- Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ne farmaaya :
دِيكٌ أَبْيَضُ أَفْرَقُ يَحْرُسُ دُوَيْرَةَ أَهْلِهِ وَ سَبْعَ دُوَيْرَاتٍ حَوْلَهُ.
Tarjoma Wa Mafhum :
"Aiysa Safed Murgh jis ki kalghi (کلغی = sar ke taaj ) shaakh dar shaakh ho (yaani taaj me duri wa faasela ho) apne maalik ke ghar aur ous ke atraaf me 7 gharon ki heraasat wa hefaazat karta hai"
(foruae kaafi - jild 6 - p 549 - ketaabud dawaajin baabud deek - h 1 aur 2)
صِيَاحُ الدِّيكِ صَلَاتُهُ وَ ضَرْبُهُ بِجَنَاحِهِ رُكُوعُهُ وَ سُجُودُهُ.
Tarjoma Wa Mafhum :
"Murgh ki faryaad (aawaaz) ous ki namaaz hai aur apne paron ko maarna ous ka roku aur sajdah hai"
(foruae kaafi - jild 6 - p 550 - ketaabud dawaajin baabud deek - h 6)
Baaz dusri rewaayaton ke motaabiq baa'aese barkat hai, namaaz ke auqaat se waaqif hai logon ko namaaz ke liae bedaar karta hai aur kahta hai ; ay ghaflat karne waalon outh jaao
Mokhtasar ye ke Kabutar aur Murgh ko paalne ki bahot zeyaadah sefaarish ki gaei hai
Agar donon joda (nar wa maadah) saath paalen to bahot behtar hai
Haqiqat me ye jaanwar balaa'on waghairah se moqaabalah karne ke liae separ ka kaam karte hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
30 / ذى الحجه / 1441 ھ.ق
Mashallah 👍
ReplyDeleteShukriya
DeleteGhar ma black titar rakhy saktay hn.
ReplyDeleteaap se guzaarish hai ke sawaal site ke menu me jaa ke "Sawaal karen" me diae ga'ae whatsapp number ya contact form se sawaal karen
Deleteسلام عليكم
ReplyDeleteان شاء اللہ مع الخیر والعافیہ ہوں گے
یہ بہت اچھا قدم اٹھایا گیا ہے جسکی برسوں سے شدید کمی محسوس کی جا رہی تھی اسی کے پیش نظر میری ایک کتاب ایران کلچر ہاوس سے شائع ہو رہی ہے ان شاء اللہ رابطہ میں رہوں گا
لطفا اپنا رابطہ نمبر ارسال فرمادیجئیے
علیکم السلام
Deleteشکریہ، ویب سائٹ میں نمبر دیا گیا ہے. "مینو" میں" سوال کریں" کا شعبہ دیکھ لیں یا پھر ویب سائٹ کے آخری حصے میں نیچے دیکھیں واٹس ایپ کا آپشن دیا گیا ہے
آپ کی سہولت کے لیئے یہاں بھی دیا جا رہا ہے
+919570927078