Asalam alaikum
Sawal.... Murarram main jo nazro niyaz imam hussain as ke nam per kiya jata hai agar sahibe malik is per kharach hone wala raqm masjid ya kisi aise bemar ko de jis per bohat kharcha aata ho ya kisi aisi ladki ko shadi ke liye de jo bohat gareeb ya yateem ho kya shar ie tour per de sakta hai
Khasoosan agar sahibe malik in dinu karona virus ko madi nazar rakhte huwe yeh soche ki kahein mera nazro niyaz jis main sainkdo log dawat per hote hain virus phelne ki wajah na bane nazro niyaz per aane wala kharcha mazkura bala kamoon ke liye dede n kya shar an jaiz hai?Aap ka mamnoon
Gulzar ahmadjawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و علی اصحاب الحسین
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar is tarah nazr wa mannat maani hai masalan " agar mera folaan kaam ho jaae to khoda ke liae mere oupar waajib hai ke imaam hussain ( عليه السلام ) ke naam par ya imaam ki raah me folaan kaam karun ga "
phir wo kaam pura ho gaya jis ke waaste nazr-o-mannat maani thi to nazr-o-mannat ke motaabiq amal karna zaruri haimasalan agar 10 momenin ko khilaane ki nazr ki hai to 10 momenin ko khilaana zaruri hai , ya agar tabarruk baatne ki nazr ki hai to tabarruk baatna zaruri hai , ya kisi gharib ko dene ki nazr ki hai to ous ko dena zaruri hai ...
lekin agar is tarah nazr nahi ki hai yaani khoda ka naam nahi liya sirf kaha " nazr-o-mannat maani hai " to aiysi nazr-o-mannat ka shar'an aetebaar nahi hai
lehaaza jahaan dil chaahe maalik kharch kar sakta hai , saahebe maal ko aekhteyaar haicoronavirus se khauf ki nahi balke aehteyaat ki zarurat hai
aedaarae sehat ne jo aehteyaati wa hefaazati tadaabir bataaei hain ous ko aekhteyaar karen phir nazr-o-neyaaz karen aur khoob azaadaari karen aur sab kuch khoda ke sopurd kar den
Note :
is tarah ki baat kahna ke azaadaari ke aekhraajaat mohtaajon , gharibon , yatimon aur zarurat mandon ... par kharch hon imaam hussain ( عليه السلام ) ke raaste aur azaadaari se dur karne ke liae kahi jaati hai
is tarah ki baat ka asl maqsad ye hai ke nazr-o-neyaaz , majlis aur azaadaari ... band ho jaae , baraahe raast nahi kah paate is liae is raaste se aate hain
aiysa kahne waalon ka dil gharibon ke liae nahi dukhta , agar aiysa hota to apni zindagi ke ghair zaruri aekhraajaat khatm ya kam kar ke gharibon ... par kharch karte ya khums nikaalte aur zakaat dete to sahm-e-saadaat mustahaq syed ka hota aur zakaat mustahaq ghair syed ke liae
aiyse logon ko nazar nahi aata ke tabarruk aur nazr-o-neyaaz ... se istefaada izzat-o-aabru ke saath gharib ... bhi karte hain
is tara ki baat wahaabiyon ... ki taraf se kahlaaei jaati hai
rewaayaat ke motaabiq imaam hussain ( عليه السلام ) ki azaadaari aur raah me jetna bhi kharch karen israaf nahi hai ous ke 10 baraabar mile ga ...
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darur itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
4 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment