keya naa baaligh bach'cha maiy'yit ko ghusl de sakta hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, August 10, 2020

keya naa baaligh bach'cha maiy'yit ko ghusl de sakta hai ?

sawaal az : mohtaram janaab tanvir ali sb / mozaffar pur

MAUZU : gusle mayyat

Q. jo shakhs mayyat ko ghusl de raha hai uske liye zaruri hai ki aqil musalman aur ehtiyat ki bina par zaruri hai ki Shia esna ashri ho sawal ye hai ki mumayyaz baccha (Jo acche aur bure ki tamiz kar sakta ho) agar woh sahi tariqe se ghusl de sakta ho to uska ghusl dena kaesa hai ?

OPTIONS

A. Kaafi h
B: kaafi nhi h
C: makrooh h
D: ehtiyat e wajib ki bina par woh gusl na de
E: INME SE KOI SAHI NAHI.
F: MUJHE nahi maalum

jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا 
سلام عليكم


aayatullah sistaani :

ghusl dene waale ke liae baaligh hona zaruri nahi hai
lehaaza bhale bure ko pahchaanne waala bach'cha sahih tariqe se anjaam de to kaafi hai

Rahbare inqelaab aayatullaah khaamenaei :

aehteyaate waajib ke taur par ghusl dene waala baaligh ho
lehaaza benaabar aehteyaate waajib ach'che bure ko pahchaanne waale bach'che ka ghusl dena kaafi nahi hai

is mas'ale ke silsile me aek zaruri wazaahat :

rahbar ke moqallid is mas'ale me aayatullaah sistaani se roju kar sakte hain
yaani aayatullaah sistaani ke fatwe ke motaabiq amal kar sakte hain

Note :

is tarah ke sawaalaat me ye likhna zaruri hai ke kis marja ki nazar ke motaabiq jawaab matlub hai


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

20 / ذى الحجه / 1441 ھ.ق
روز ولادت باسعادت امام موسی کاظم ( عليه السلام )

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen