Moharram ke aa'ghaaz par mobaarak baad dena - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, August 22, 2020

Moharram ke aa'ghaaz par mobaarak baad dena

Sawaal Az :.....From : Patna


Islamic naya saal muharrum haram se shuru hota hai or ye mahina sog wa gham ka nahi hai balke barkato or rahmato ka mahina hai goya islami naye saal ki Mubarak bad dene me koei harj nhi hai
Kya ye nazariya sahi hai ?agar sahi nahi hai to iski koei Mustanad daleel chahiye


Shukriya
Was Salaam


Note: Mera name or number nhi dijiyega Iska jawab jald chahiye


Jawaab :


باسمه تعالى


السلام على الحسين و على علی ابن الحسین
وعلی اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


سلام علیکم


jo log kahte hain maahe Moharram barkaton aur rahmaton ka mahina hai wo pahle ye saabit karen ke is daawa par oun ki dalil keya hai ?


is liae ke ye aek qaa'aeda wa osul hai ke "manteqi dalil dena daawa karne waale ke zimme hai"


isi tarah jo log Moharramul haraam ki aamad par aek dusre ko mobaarak baad dete hain oun ki dalil keya hai ?


is liae ke ye aqli qaa'aeda aur islaam ka aek osul hai ke "dalil dena ous ke oupar hai jo daawa kare" lehaaza koei baat ham dalil ke beghair taslim nahi karen ge is liae ke hamaara deen wa mazhab dalil, sobut aur aqle salim par qaa'aem hai


ham to is se inkaar karte hain ke Moharram barkaton, rahmatin aur khushi ka mahina hai


lehaaza mustanad dalil wo de jo daawa kar raha hai ke Moharram barkaton, rahmaton aur khushi ka mahina hai


surah tauba Aayat 36 me qur'aan karim ne sarahat ke saath bayaan kiya hai ke mahinon ki tadaad 12 hai aur ye mahine ous waqt se hain jab se Allah ne Aasmanon aur Zamin ko payda kiya, oun me se 4 mahine hurmat ke hain


quran hakim ki is Aayat ke motaabiq 4 mahine hurmat ke hain aur hurmat ke mahine sirf qamari saal me hain, aek Moharramul haraam hai


lehaaza qamari saal ous waqt se hai jab se khoda ne Aasmanon aur zamin ko payda kiya


ye bhi kaha ja sakta hai ke tufaane Nuh me kharaab hone ke baad jab janaabe Ibraahim wa janabe Ismaa'eil ne dobara khaana'ae kaba ko banaya aur momenin zeyaarat wa haj ke liae jaane lage to ous waqt qamari saal raa'aej huaa


aur jab Amirul Momenin Ali (علیه السلام) shabe hijrat bistare Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) par so'ae aur maahe rabioul Awwal me musalmaanon ne makke se madine ki taraf hijrat ki to Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ki jaanib se mashwerah dene par ous waqt se hijrat ko islaami saal ka aaghaaz wa mabda qaraar diya gaya, isi liae hijri wa qamari donon likhte aur khahte hain


Wazaahat :


is baat ke peshe nazar hijri saal ka pahla mahina Moharram ke bajaa'ae Rabioul awwal hona chaahiae. is hawale se ba taure aeshaara batla dun ke ye ourfi hai, isi liae Rabioul awwal ke bajaa'ae Moharram ko hi pahla mahina rahne diya gaya, is liae ke saal ke aaghaaz ko tabdil karna bahot mushkil hai.


guzarne waale hawaadis aur waaqe'aat ke aetebaar se taarikhen badalti rahti hain lekin saal ka aaghaaz nahi badalta.


is waqt bhi aysa hi hai, masalan Hindustaan ka yaume aazaadi 15 Aug hai to saal ka aaghaaz Jan. ke baja'ae Aug. se nahi kiya gaya.


almukhtasar ye ke ye baat yaqini hai ke ye mahine islaam se pahle bhi raa'aej the aur jab Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ne madine ki taraf hijrat ki to hijrat ko islaami taarikh ka mabda qaraar diya gaya.


islaam se pahle aur hijrat ke baad koei aysi motabar dalil nahi milti hai jis me kaha gaya ho ke Moharram barkaton wa rahmaton ka mahina hai. Maahe Ramzaan ke liae motabar dalil hai lekin Moharram ke liae nahi hai


isi tarah ham ko kisi bhi motabar dalil me nahi milta hai ke kisi Nabi ya Rasule Akram (صلی الله علیه و آله) ya kisi motabar sahaabi ne moharram ki aamad par kisi ko mobaarak baadi di ho


lehaaza moharram ke aaghaaz par mobaarak baadi ka koei jawaaz nahi hai


na qur'aan se saabit hai aur na hi motabar hadis se


waaqea'ae Karbala ke pahle na barkat ki koei khabar thi aur na hi tabrik ki, ye bid'at waaqea'ae Karbala ke baad ra'aej ki gaei


jin haadesaat aur waqe'aat se Maahe Moharram ki barkaten saabit ki jaati hain ya oun ko mobaarak baadi dene, shaadi aur jashno sorur ke liae ba taure jawaaz pesh kiya jata hai, wo sab Banu omaiy'yah ki eijaad kardah hain


bela shubhah raawiyon aur mowarrekhin ko laalach ya dhamki de kar ketaabon me waarid wa dakhil karaya gaya hai


Imaam Hussain (علیه السلام) ki shahaadat ka gham koei maamuli gham nahi hai, shahaadat ke pahle hi is gham aur waaqea'ae Karbala ki khabar di gaei thi, har Nabi ko is se aagaah kiya gaya tha aur har Nabi ne gham wa sog manaaya hai lehaaza ye mahina hamesha se gham wa sog ka tha aur taa qeyaamat rahe ga


is waqt bhi jo Banu omaiy'yah ke pairo hain oun ki pairawi karte hain, is tarah ka khabis wa palid rasmo rewaaj oun ko Banu omaiy'yah se waraasat me milaa hai


Ibne Taimiya ne Yazid jaise munkere wahi, faasiq, sharaabi, zaani, mushrik aur kaafir ... ke fazaa'ael par ketaab likhi hai aur takfiriyon, wahaabiyon aur Saudiya jaiysi jallaad aur kha'aen wa faasiq hokumat ne taalimi nesaab ki ketaabon me Yazide palid ka ta'aaruf Amirul Momenin aur oummaate muslema ke azim khalifa ke taur par karaaya hai ...


aise log aur in ke maanne waale Moharram ki aamad par gham wa sog manaa'aen to ba'aese ta'aajjub hai


Imaam Hussain (علیه السلام) Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ke wojud ka hissa hain, aap ki mohabbat waajib hai, safina'ae nejaat aur cheraaghe hedaayat ... hain, is ke ba wojud aap ke qaatil ko jo Amirul Momenin kahe aur khalifa maane to Maahe Moharram ki aamad par ous se yahi oummid hai ke khushi'yaan mana'ae ga, shaadiyan kare ga, zarq barq lebaas pahne ga aur aek dusre ko mobaarak baadi de ga ...


aiyse logon ka asl maqsad ye hai ke log Imaam Husain (عليه السلام), Aashura, maqsade aashura, paiyghaame aashura, eibrate aashura ... ko bhul jaa'aen, oudhar se tawajjoh hataane ke liae jaali wa man ghadat (من گھڑت) rewaayaat aur waa'qeaat ka baazar garm huaa


oun ke nazdik Rasule Maqbul (صلى الله عليه و آله) ki welaadat ke mauqe par jashno sorur wa khushi manaana bid'at hai lekin farzande Rasul Imaam Husain (صلوات الله عليهم) ki shahaadat ke mauqe par khushiyan manaana aebaadat hai


eisaaeiyon ke na'ae saal ... aur Rasule Geraami (صلى الله عليه وآله) ki welaadat baa sa'aadat ke mauqe par mobaarak baad dene ke khelaaf mohim wa tahrik chalaaei jaati hai lekin Moharram ki aamad par mobaarak baadi dene ki mohim wa tahrik chalaaei jaati hai


ajib mantiq hai !!! in ki aql ko jute maarna chaahiae


aiyse log khushi aur gham ke aadaab se bhi waaqif nahi hain aur aetni tamiz nahi rakhte ke mobaarak baadi kis mauqe par di jaati hai aur porsa kab diya jaata hai


aiyse logon ke baap daada ... ki maut ya barsi par koei mobaarak baad pesh kare to kaiysa lage ga ?


Wahaabi wa takfiri kahte hain :


baaz mowarrekhin ke motaabiq Rasule Akram (صلى الله عليه و آله) ki taarikhe welaadat aur taarikhe wafaat aek hi hai lehaaza jashno sorur ki mahfil mun'aqid karna ... Rasul ki rehlat par gham wa sog ke manaafi hai lehaaza jashne milaadun nabi ka jalsa ... bid'at wa haraam hai


lekin Imaam Husain (عليه السلام) ki taarikhe shahaadat yaani aashura ke din jo roze ghamo andoh wa aza hai khushiyaan manaana ... aebaadat aur roze eid hai


keya aap ne kabhi suna hai ke jis din Mo'aawiya waghairah mare ous din ko roze eid, roze barkat aur roze tabrik qaraar diya gaya ho !


22 rajab ki nazr ki mokhaalefat ka jawaaz yahi pesh karte hain ke ous din shia Mo'aawiya ki maut par khushi manaate hain


lekin Farzande Rasul Imaam Husain (صلوات الله عليهم) ki shahaadat ke mauqe par har tarah ki khushi manaana aebaadat hai


agar oun ke paas fitrate saalim, aqle saalim aur qalbe saalim hota to aiysi ahmaqaana, jaahelaana aur ghair fitri baaten na karte


khud to gumraah hain aur dusron ko bhi gumraah karte hain


jis tarah barsaati mendak (مینڈک) baarish hote hi nikal kar tar taraate (ٹرٹراتے) hain ousi tarah Moharram ke aaghaaz ke saath hi mobaarak baad dene ... waale nikal kar demaagh ke konwen (کنویں) me tar taraate mendakon ke tarjomaan hote hain


agar Rasule Rahmat (صلى الله عليه وآله) haamare darmeyaan hote to dunya dekhti ke aap apne Farzand Husain (عليه السلام) ka gham wa sog kis tarah manaa rahe hain


Note :


jo kuchh bayaan kiya ous ke mota'alliq har waqt monaazarah karne ke liae haqir aamaada hai


Niche di gaei headline par click kar ke jawaab molaaheza farmaana mofid hai insha'allah


Islaami saal ka aaghaaz maahe ramazaan se hota hai moharram se nahi


اردو میں پڑھنے کے لیئے یہاں دبائیں


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
.khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


2 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube



Recommended

  • Moharram wa azaadaari ke mota'alliq mofid maalumaat
  • No comments:

    Comment

    .
    WhatsAppWhatsApp par sawaal karen