Salamun Alaikum
Mera naam Samar hai mai Agha sistani sb. Ki Taqlid karta hu
Mera swaal hai ki muharram me majlis me sher-o-shayri karna sahi hai ya nahi Q ki ye gham ka mahina hai aur sher-o-shayri to jashn ke din par hoti hai.
Jawaab ka talabgaar🙏
Shukriya
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar sher-o-shaaeri se moraad ahl-e-bait-e-ismato tahaarat ( صلوات الله عليهم ) ke fazaael wa manaaqib ... ko sher ki surat me bayaan karna hai ya soz , salaam , marsiyah wa nauhaa ... hai to ye na sirf sahih hai balke baa'ae-se - ajr-o-sawaab hai
Aur agar sher-o-shaaeri se moraad jashn-o-sorur aur khushi manaana hai to ye azaadaari ki be aehteraami hai jaa'aez nahi hai haraam hai ye banu-omaiy'ya ... ki sirat hai
moharram wa safar ka aehteraam zaruri wa waajib hai lehaaza momenin in do mahinon me koei aiysa kaam na karen jo sorur wa shaadmaani aur khushi ka sabab bane
Note :
shaaeri wa marsiyaah ki taarikh bahot puraani wa qadimi hai taarikh me naql huaa hai ke ru-e-zameen par sab se pahla marsiyaah janaab-e-aadam ne kaha tha jab qaabeel ne haabeel ko qatl kar diya to apne laa'aeq farzand ki wafaat par baap ne izhaar-e-gham marsiyah kah kar kiya
karbala waghirah me bhi aiysi misaalen bahot milti hain
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
۔4 / محرم / 1441ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment