1 | 3 aur 7 moharram ko roza rakhna | doa karna - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, August 23, 2020

1 | 3 aur 7 moharram ko roza rakhna | doa karna

sawaal az : mohtaram janaab tanvir ali sb /delhi

Kya muhrrum me khas karke ke 1-5th muhurrum tak roza rakhne ki takeed ki gayi?

jawaab:


باسمه تعالی

السلام علی الحسین و علی علی بن الحسین و علی اولاد الحسین و علی اصحاب الحسین

سلام علیکم


maahe moharram me 3 roz yaani pahle , tisre aur saatwen (1,3,7) roz roza rakhna mustahab hai

Note:

mahe moharram aur masaa'aebe moharram ... ke mota'alliq ray'yaan bin shabib ( رَیَّان بن شبیب ) se marwi imaam reza ( عليه السلام ) ki hadis se momenin aagaah hain , ous tafsili rewaayat me hai :

ray'yaan bin shabib moharram ki pahli taarikh ko imaam reza ( عليه السلام ) ki khidmat me gae to imaam ( عليه السلام ) ne farmaaya :

" aaj wo din hai jis din zakariya ( عليه السلام ) ki doa qabul huei "
aap ne farzand ke liae doa ki thi to khoda ne aap ko janaabe " yahya " ki bashaarat di (mafhum)


فَمَن صَامَ هَذَاليَومَ ثُمَّ دَعَا اللهَ عَزَّوَجَلَّ اِستَجَابَ اَللهُ لَهُ كَمَا اِستَجَابَ لِزَكَرِيَّا ( عليه السلام )


" pas jo shaks is roz roza rakhe phir khoda se doa kare to khoda ne jis tarah zakariya ( عليه السلام ) ki doa qabul ki ousi tarah ous ki bhi doa qabul kare ga "

(oyuno akhbaarir reza ( عليه السلام ) jild 1 p 299 )

rasule khoda ( صلى الله عليه و آله ) se manqul hai :


اِنَّ مَن صَامَ اليَومَ الثَّالِثَ مِنَ المُحَرَّمِ اُستُجِيبَت دَعوَتُهُ


" jo shakhs bhi moharram ke tisre din roza rakhe to ous ki doa qabul ki jaae gi "

( aeq baalul aamaal p 554 )

behtar hai di gaei link molaaheza farma len


9 | 10 moharram ko roza rakhne ka hukm | imaam hussain (a.s) ko kis ne ghusl aur kafan diya Click here

والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

3 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen