Sawaal az : +91999851
Salamun alaikum Wrb
Aap kheriyat se honge inshaallah
Mola Aapko salamat rakhe
Eid ghadeer or Eid Mubahela Aapko Mubarak ho
Molana sahab ek sawal hai jo filhal kai general group me ho raha hai
Sawal
Mubahela 10 hijri ko nahi 9 hijri ko hua hai...
Kyu ke 18 zilhij ko to maidan ghadeer me the sab Phir 3 din tak wahin rahe
Iss tarah 21 zilhij hui
22 zilhij ko madina ke liye rawana hue to to yah kaise possible hai ke aik hi din me yani 23 ko madina pahuch bhi gaye najran ke eessai aa bhi gaye..
Isko mukhtasar ya tafseel se bataye Mubahela 9 hijri me huwa ya 10 hijri me Shukriya🌹
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ - آپ کو بھی مبارک ہو
mobaahalah ke saal wa taarikh ke ta'alluq se mowarrekhin ... ne mokhtalif aqwaal wa nazariyaat ka aehtemaal diya hai ke ye waaqe'aa kis taarikh wa hijri ka tha, har aek ke paas apni apni dalilen maujud hain, aekhtesaar ke peshe nazar sirf aqwaal ka zikr kiya jaata hai
- 6 hijri
- baad az fathe makkaah wa qabl az haj'jatul wada (aakheri haj) 8 hijri
is qaul ke motaabiq mobaahala ghadeer ke pahle huaa - 9 hijri
- 10 hijri (aksar mowarrekhin ... ne 10 hijri likha hai, ye qaule mash'hur hai lehaaza 10 hijri maqbul hai)
Taarikh ke hawaale se aqwaal wa nazariyaat :
- 28 zilhijjah (Fakhre Raazi)
- 21 ya 22 ya 25 ya 27 zilhijjaah
- mash'hur qaul wa nazariae ke motaabiq 24 zilhijjaah
(aksar mowarrekhin ... ne 24 zilhijjaah likha hai yahi qaul mash'hur hai lehaaza ye maqbul hai)
Shubhaah ka jawaab :
agar 6 ya 8 ya 9 hijri maan len to is me kisi tarah ka shako shubha eijaad nahi hoga
is liae ke waaqa'ae ghadeer aur mobaahalaah ke saal me farq hai ye waaqe'aat alag alag saal ke the
10 hijri maan len tab shubhaah eijaad kiya jaata hai ke waaqea'ae ghadeer wa mobaahalaah donon aek hi saal ke the aur Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ghadeere khum me 3 roz ruke is ke baad bhi 24 zilhijjaah Madina pahunch ga'ae, ye kaise momkin hai ? is liae ke waaqea'ae ghadeer ke 6 roz baad mobaahalaah huaa
Rasule akram (صلى الله عليه وآله) ne 18 zilhijjaah namaaze zohr ke baad Ali (عليه السلام) ki imaamat ka aelaan kiya, 3 roz tak yaani 18 zilhijjaah se 20 tak yahin rahe is ko "ايام الولايه" welaayat ke din kaha jaata hai
shabe 21 zilhijjaah ya 21 zilhijjaah ke din Madine ki jaanib chale, 24 zilhijjaah yaani 3 roz baad Madina pahunch ga'ae, ye momkin hai
is liae ke ghadeere khum se Madina taqriban 250 Km hai ous waqt 3 roz me aetni masaafat taiy ho jaati thi
Misaal wa shaahid :
60 hijri 28 rajab Imaam Hussain (عليه السلام) ka qaafela Madine se chala aur ousi saal 3 shaabaan ko Makkaah pahunch gaya yaani 5 roz baad, jab ke aap ke hamraah bach'che aur auraten ... bhi thin aur asli raaste se ga'ae, logon ke kahne ke baa'wojud mokhtasar raaste se nahi ga'ae is liae ke mokhtasar raasta hamesha behtar nahi hota
Madine se Makkaah taqriban 400 ya 420 Km hai, Imaam Hussain (عليه السلام) ka qaafela 400 ya 420 Km ki masaafat ko 5 roz me taiy kar sakta hai to 250 Km ka faasela (ghadeer se madine tak) badarja'ae aula taiy ho sakta hai, is me ta'ajjub wa shubha aur hairaani ki keya baat hai
is liae ke ghadeer se Madina ki masaafat taqriban Madina se Makkaah ki masaafat ka nisf hai
khulaasa ye ke 10 hijri me donon waaqe'ah ru'numa huae, 18 zilhijjaah ko ghadeer aur 24 zilhijjaah ko mobaahalaah
yahi qaul maqbul hai is liae ke aksar mowarrekhin wa olama ke nazdik ye qaul zeyaadah mash'hur hai
najraan ke eisaaeion ke aane ke ta'alluq se bata dun ke Rasule maqbul (صلى الله عليه وآله) ne najraan ke eisaaeion ke paas daawate islaam ka khat bheja, oun logon ne islaam qabul nahi kiya lekin apne numaa'einde Madina bheje ...
monaazara ke baad bhi islaam qabul nahi kiya to ba'hukme Khoda mobaahala karne ke liae kaha, 24 zilhijaah taarikhe mobaahala qaraar paaei
mobaahala ke liae aek maah se zeyaadah arse se raasta hamwaar ho raha tha, achaanak nahi huaa
in baaton ke peshe nazar oun ke aane par ta'ajjub kaisa ?
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
23 / ذى الحجه / 1440ھ.ق
is jawaab par jo aeteraaz hua hai ous ka jawaab padhne ke liae Click here
No comments:
Comment