eide mobaahala ke saal par aeteraaz | ous ka jawaab - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, August 14, 2020

eide mobaahala ke saal par aeteraaz | ous ka jawaab

Sawaal az : +9199985....


Jab group me aapka jawab (ghadir wa mobaahala kis san me huaa... ke ta'alluq se) send kiya mene us waqt


Ek sahab ne ye References send kiye hai 9 hijri ka


الجوہری، اسمعیل بن حماد، الصحاح، 1407۔ ذیل مادہ بہل۔
الزمخشری، محمود، 1415 ق، ج1، ص: 368۔
شیرازی، مکارم، تفسیر نمونه، ج‌2، ص580۔
طبرسی، مجمع البیان، انتشارات ناصرخسرو، ج2، ص 762 تا 761۔
قرآن کریم، توضیحات و واژه نامه از بهاءالدین خرمشاهی، 1376.ذیل آیه مباهله، ص 57۔
الزمخشری، تفسیر الکشاف، ذیل آیه 61 آل عمران۔
الرازی، التفسیر الکبیر، ذیل آیه 61 آل عمران۔
البیضاوی، تفسیر انوار التنزیل واسرار التأویل، ذیل آیه 61 آل عمران۔
قرآن کریم، توضیحات و واژه نامه از بهاءالدین خرمشاهی، 1376، ذیل آیه مباهله، ص 57۔
المفید، الارشاد، ج1، صص166 -171 ابن شهرآشوب، 1376ق، ج 3، ص: 144۔
میبدی، کشف الاسرار وعدة الابرار، ج2، ص147۔
انصاری، مرتضی، کتاب الطهارة، ج3، قم، کنگره جهانی بزرگداشت شیخ اعظم انصاری، صص48-49۔
رجوع کریں: ذو الحجہ کے واقعات و اعمال
قمی، شیخ عباس، 1374، ج1، صص: 182 -184۔
الطبرسی، مجمع البیان فی تفسیر القرآن، 1415، ج 2، ص 310۔
الطباطبائی، محمدحسین، المیزان فی تفسیر القرآن، ذیل آیت 61 آل عمران؛ المیزان کے مؤلف کے مطابق یہ روایت صحیح مسلم، سنن ترمذی، أبو المؤید الموفق بن أحمد کی "فضائل علی"، ابو نعیم اصفہانی کی "حلیۃ الاولیاء" میں اور حموینی کی "فرائد السمطین" میں بھی نقل ہوئی ہے۔
سورہ انعام، انعام 38۔
سورہ انعام آیات 83 و 84۔
الطباطبائي، سید محمد حسین، وہی ماخذ، صص: 230- 229۔
المفید، الفصول المختاره، التحقیق: السید میرعلی شریفی، بیروت: دار المفید، الطعبة الثانیة، 1414، ص 38


مباہلہ 9 ہجری کو ہوا ریفرنس کے ساتھ۔ 👆


Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم


jin ketaabon ka hawaala diya gaya hai oun me se baaz ketaabon ke ta'alluq se bata dun ke shia tafsir ki qadimi ketaab "Majma'oul bayaan" aur sunniyon ki mash'huro maaruf tafsir ki ketaab "Tafsire kabir al-maaruf ba tafsire raazi" me surah aale imraan aayat 61 (aayate mobaahalah) ki tafsir padhi, is aayat ke zimn me saal ka zikr hi nahi hai ya mujhe nazar nahi aaya !


Fakhre shia Shaikh Mofid (رضوان الله عليه) ki ketaab "Al-irshaad" ka hawaala diya gaya hai is ketaab me 9 hijri nahi likha hai balke 8 hijri likha hai


saahebe mafaatihul jenaan Shaikh Abbaas Qumi (نورالله مرقده) ka bhi hawaala diya gaya hai to ye bhi ghalat hai is liae ke aap bhi 10 hijri ke qaa'ael hain


(muntahal aamaal jild 1 p 127 = waaqea'ae saale dahum hijri qissa'ae mobaahala wa nasaara'ae najraan taalif shaikh abbas qumi)


Shaikh Ansaari (رضوان الله عليه) ki nazar ka bhi zikr hai, mere khayaal me is ka rabt saal se nahi hai balke taarikhe mobaahala se hai, aap ke nazdik mash'hur qaul 24 zilhijjah hai


Allaama Taba Tabaaei (نورالله مرقده) ki nazar 9 hijri likhi hai ye bhi ghalat hai is liae ke aap ne likha hai mobaahala 6 hijri ya ous ke pahle huaa


Shaikh Tusi (رضوان الله عليه) ki shakh'siyat se sabhi aagaah hain aap ne apni mash'huro maaruf ketaab "Misbaahul motahajjid" p 764 par 10 hijri likha hai


mash'hur sunni mowarrikh ... Ibne Asir ne bhi 10 hijri likha hai


(al-kaamil fit taarikh jild 1 p 645 baab 10 hijri ke waaqe'aat matbuaa daar aehya at-toraasul arabi berut)


baaz logon ko net par jo mil jaata hai ous ko tahqiq kiae beghair logon ke hawaale kar dete hain


khulasa ye ke saal 9 hijri ho ya 10 ya ... khud waaqea'ae mobaahala par asar nahi hoga mobaahala huaa, is me shak ki gunjaaeish hai hi nahi aur ye waaqe'aa islaam aur shion ki haqqaaniyat par behtarin sobut wa dalil hai aur Ahlebaite ismato tahaarat (صلوات الله علیهم) ki azmat wa fazilat ki sanad bhi hai, is din sirf mobaahala nahi huaa balke Aayate Tathir naazil huei aur haalate roku me hazrat Ali (علیہ السلام) ne anguthi bhi di to aap ki shaan me Aayat naazil huei


Note :


sawaalo jawaab ko behtar tariqe se samajhne ke liae niche recommend kiya gaya haqir ka pahle waala jawaab zarur padhen
ousi jawaab par aeteraaz ka ye jawaab diya gaya hai



والسلام

Syed Shamshad Ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shba-e-sawaalaat qum / iran


24 / ذی الحجہ / 1440 ھ.ق
🌹 روز عید مباہلہ 🌹

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen