keya maqruz par khums hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, August 4, 2020

keya maqruz par khums hai ?

sawaal az : +919552.....

Salaamunalaik Agah

Apke liye dua goh hu
Ramzan ki 1 tarikh ko meri khums ki date hai, aur us roz mere pass dus hazaar rupees hai lekin ghar ka rashan aur logo ka aur bank ka karz bhi hai to mere liye khums ka kya hukm hai?
Wasslaam
Allah apki umr daraaz kare aur har afato bala se mehfooz rakhe

jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا 
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ


agar qarz isi saal ke aekhraajaat wa zindagi ki zaruriyaat ke liae ho ( is ke pahle wa baad waale saal ke liae na ho ) to agar chaahen ke jetna qarz hai ousi meqdaar me juda wa alag ( minha ) karke baaqi bachi huei raqam ka khums den to koei haraj nahi hai
lekin agar qarz is saal ke aekhraajaat ke liae na ho balke pahle wa baad ke barson ( saal ) ke liae ho to khums ki taarikh me baaqi bachi huei kul raqam ka khums den

( ba motaabiq fatwa aayatullaah sistaani )


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

12 / ذى الحجه / 1441 ھ.ق

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen