باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
karbala me shahid hone waale imaam Hussain ( عليه السلام ) ke aksar as'haab se ham log aagaah hain lekin oun me se kuchh aise sahaabi hain jo hamaare darmeyaan gumnaam hain ya maaruf nahi hain
aaj ham ek aise sahaabi ka ta'aaruf karaa'aen ge jo apni shojaa'at , shahaamat, jaan nesaari aur azim qurbaani ke baawojud hamaare darmeyaan maaruf nahi hain
ous azim sahaabi aur shahide karbala ka naam "Sowaid Bin Amr = سُوَيد بن عَمرو " hai, aap sharifun'nasab, zaahid aur kasrat se namaaz padhne waale the
maydaane Karbala me lashkare Yazide palid ( لعنة الله عليه ) par misle sher hamla kiya aur bahot saare zaalimon ko waasile jahannam karne ke baad bil'aakhir shadid zakhmon aur jaraahaton ki taab na laa kar zamin par gir pade
dusre shohadaae Karbala ke darmeyaan aap behosh pade huae the, dushman ye samjhe ke aap chal base hain isi liae chhod diya
isi haalat me " َقُتِل الحسين " Hussain qatl kar diae gae ki aawaaz suni, ye aawaaz sunte hi bardaasht nahi huaa, talwaar to dushman le chuke the, aap ke paas ek khanjar tha ous ko nikaala aur zakhmon ki wajah se intehaaei zahmat, mashaq'qat aur taklif ke baawojud jehaad kiya aur dobaara zaalimon ko jahannam me bheja, yahaan tak ke Yazid ke sepaahiyon ne bhediae ( بھیڑیئے ) ki tarah hamla kar ke aap ko bhi shahid kar diya
mowarrekhin ke motaabiq as'haabe imaam Hussain ( عليه السلام ) me se aap waaqea'ae Karbala ke aakheri sahaabi wa shahid hain
Shia ketaab :
( muntahal aamaal jild 1 p 505 )
beraadaraane sunni ki mash'hur-o-maaruf ketaab "taarikhe tabari" me likha hai :
janaabe "Sowaid Bin Amr " imaam Hussain ( عليه السلام ) ke as'haab me se aakheri shahid hain aur khaandaane Abutaalib me se pahle shahid "Ali Akbar Bin Hussain" ( سلام الله عليهم ) hain
( jild 4 p 340 / 61 hijri ke waaqe'aat )
isi liae imaam Hussain ( عليه السلام ) ne shabe aashura farmaaya tha :
"jis tarah bahot zeyaadah wafaadaar sahaabi mere hain waise kisi ke bhi nahi hain
Dars-o-sabaq :
janaabe "Sowaid Bin Amr" se ek mohim sabaq wa dars ham ye le sakte hain ke agar aksariyat haq aur imaam se dur wa munharif ho jaa'ae tab bhi aakheri saans tak haq wa imaam ko nahi chhodna chaahiae
jis tarah parwaane sham ke gird aekat'tha ho jaate hain aur ous ko chhod kar kahin nahi jaate balke ous par apni jaan qurbaan kar dete hain
ousi tarah ham ko cheraaghe hedaayat ka parwaana hona chaahiae
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله
اَللَّهُمَّ ارزُقنِى شَفَاعَةَ الحسين يَومَ الوُرُودِ ، وَ ثَبِّت لِى قَدَمَ صِدقِِ عِندَكَ مَعَ الحسين وَ اَصحَابِ الحسين اَلَّذِينَ بَذَلُوا مُهَجَهُم دُونَ الحسين عليه السلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat
روز عاشورہ / وقت عصر / 1442 ھ.ق
No comments:
Comment