Salamun Alaikum
Eid e ghadeer Mubarak ho💐
Sawal - kya ye Imaam Hussain (as) ki hindustaan waali hadees sahi hai, jo log kai baar repeat kertey hain? Hindustan to uss waqt exist bhi nhi karta tha. Aaj ke hindustaan ki borders aur shakal in 1400-1500 saal me kai baar change hoti rahi hai, phir bhi log iss hadees ko circulate kertey rehtey hain.
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
آپ کو بھی بہت بہت مبارک ہو
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
آپ کو بھی بہت بہت مبارک ہو
imaam husain ( عليه السلام ) ne hindustaan jaane ke liae kaha tha , is baat ka zikr mokhtalif ketaabon me hai
waaqeaa is tarah hai ke jab sabhi shahid ho gae to hazrat abbaas ( عليه السلام ) imaam husain ( عليه السلام ) ki khidmat me aae our farmaaya :
paani laane ki aejaazat de dijiae ... dono bhaaei ke darmeyaan jo guftogu huei bhot dil doz hai ...
imaam ( عليه السلام ) ne aejaazat di aap maqtal me aae our zaalimon se kaha :
tum ne sab ko shahid kar diya , paani band kar diya ... sabhi paani pi rahe hain lekin saaqiae kausar ka laal peyaasa hai our bach'che peyaas se is tarah tarap rahe hain ke anqarib oun ki jaan nikal jaae gi ...
tafsili guftogu ke baad hazrat abbaas ( عليه السلام ) ne zaalimon se farmaaya :
is ke baa'wojud imaam husain ( عليه السلام ) farma rahe hain :
دعونى ان اخرج الى طرف الروم او الهند ...
mujhe chod ( چھوڑ ) do taake rum ya hind ki jaanib chala jaaoun our hejaaz wa aeraaq tumhaare hawaale kar dun ...hawaala :
(1) " al'muntakhab " tisri hadis taalif faqih-e-nabil , mohaddis-e-jalilul'qadr fakhruddin bin mohammad bin ali tarai'hi ( طَرَیحِی)
(2) ma'aaliyus sibtain ( معالى السبطين ) jild 1 p 271 taalif al'aalemul aamil , mohaddis-e-kaamil shaikh mohammad mahdi maazan'daraani
(3) " maqtalul husain ( عليه السلام ) az madina ta madina " taalif aayatullaah syed mohammad jawaad zehni tehraani
Note :
(1) tinon ketaab me imaam husain ( عليه السلام ) ke is jumle " دعونى ان اخرج الى طرف الروم او الهند ... " ka zikr janaab-e-abbaas ( عليه السلام ) ke waaqae shahaadat ke zimn me hai
zaahir hai is jumle me hind se moraad jogh'raafiyaaei ( جغرافیائی ) aetebaar se ous waqt ka hindustaan hai
(2) ( ...... hindustaan me shi'at .... )
is video ko bhi dekh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
17 / ذى الحجه / 1440ھ.ق
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran
17 / ذى الحجه / 1440ھ.ق
No comments:
Comment