sawaal az : mohtaram janaab Syed Minhal hussain sb
Sawal ye hai k jaisa k abhi COvid19 ki wajah se har jagah azaadaari ous tarah nahi ho rahi hai jaisai hua karti thi.. agar kahin majlis me Social distancing nahi ho rahi hai, Bina Mask ke log hain to aisi majlis qubool hogi ? Jaise kisi gaaw ( village ) me khuda ke shukr hai ke ab tak koi case nahi aaya hai... Aisi jagah ke baare me puchh raha hun.
jawaab :
باسمه تعالى
السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين
سلام علیکم
sab se pahle aap ki khidmat me arz kar dun ke jis tarah jaa'aez nahi hai ke koei shakhs shahar ya dehaat ke aabi zakhaa'aer wa paani ke mamba ko aaluda kare aur logon ki jaan khatre me daale, ousi tarah kisi bhi shakhs ke liae jaa'aez nahi hai ke mask na laga kar aur samaaji faasela qaa'aem na rakh kar feza ko aaluda kare jis ki wajah se saans lena bhi mushkil ho jaa'ae aur logon ki jaan khatre me pad jaa'ae
wabaa'ei amraaz ke maaherin kahte hain :
virus phailne ki surat me samaaji faasela qaa'aem rakhna zaruri hai chaahe aap khud ko 100% tandorust hi keyon na tasaw'vur karen
mo'aasherati ya samaaji duri aiysa aehteyaati qadam hai jis ko apnaane ka mashwera aalami satah par diya jaa raha hai
dusre ye ke aayaat aur rewaayaat ke motaabiq apne aap aur dusron ko noqsaan pahunchaana jaa'aez nahi hai
Tisre ye ke rewaayaat ki roshni me :
kach'chi peyaaz ya kach'cha lahsan khaane ke baad masjid ya kisi nashist me jaana durust nahi hai ( is liae ke ous ki badbu se insaanon ko taklif mahsus hoti hai )
jab shari'at ne ba zaahir aiysi chhoti baaton par tawajjoh dilaa'ei hai to tasaw'wur karen kisi ke zariae wabaa'ei amraaz phaile to keya hukm hoga ?
in baaton ke peshe nazar ye aqli wa shar'ei hukm hai :
agar mask na lagaane ya samaaji faasela qaa'aem na rakhne ki surat me bimaar hone ka andesha hai to mask na lagaana aur duri qaa'aem na rakhna haraam hai
hatta baaz maraaje keraam ne ye bhi farmaaya hai :
"( khoda na kare ) agar kisi ki wajah se koei mar gaya to wo deyat ( khun baha ) de aur agar aelaaj me paise zeyaadah lagen to aelaaj ke paise de
mokhtasar ye ke :
is waqt mask lagaana aur samaaji faasela qaa'aem rakhna insaani aur ijtemaaei fariza hai
aur aehteyaat aelaaj se behtar hai
majlis qabul hogi ya nahi ? is ka eilm khoda aur imaame asr ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ko hai
aakhir me ye bhi arz kar dun ke ijtemaa'ei faasela hona zaruri hai lekin dil aek dusre se qarib hon
aur Covid19 ki wajah se majlis aur azaadaari ... ko taatil karna bhi jaa'aez nahi hai, aehteyaati wa hefaazati tadaabir ko aekhteyaar karte huae har saal se behtar se behtar andaaz me azaadaari ... manaa'aen
والسلام
Syed Shamshad Ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔5 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق
subscribe us on youtube
No comments:
Comment