Jang-e-khaybar ke asl haqaa'aeq | asre haazir ke amali taqaaze - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, August 15, 2020

Jang-e-khaybar ke asl haqaa'aeq | asre haazir ke amali taqaaze

sawaal az : mohtaram janaab meerub naqvi sb


Jang-e-khaibar kya hai ? Jang-e-khaibar ke baare me kuchh bataiye maula Ali a.s kaise jang fath ki all to all janna hai.


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


jange khaybar ya fat'he khaybar ke baare me tamaam tar maalumaat ke liae tafsili ketaabon se roju karen, yahaan ba'qadre zarurat bayaan kiya jaa raha hai molaaheza farmaa'aen :


Khaybar "Eibri" lafz hai is ka matlab "qal'ah (قلعہ) hai isi wajah se ous jagah ko Khaybar kahte hain

is aelaaqe me mohkam wa mazbut 7 qal'ae the


yahudiyon ne apni hefaazat ke liae banaaya tha, oun ki saakht me ous waqt ki aala technology istemaal ki gaei thi, burj banaa'ae the, chaaron taraf khandaq khodi gaei thi, zere zamin is tarah surang (zamin doz raasta) banaaei thi ke saaton qal'on ke afraad bela khauf aek dusre se milte julte the, gheza ka ach'cha khaasa zakhira bhi tha


qal'ae ke chaaron taraf oun ke jang ju wa sepaahi is tarah morcha sanbhaale baithe huae the ke dush'man ke aate hi tir andaaz tir baaraan wa sang baaraan kar dete the


7 Qal'oun ke naam :


  1. Naa'aem (ناعم)
  2. Qomus (قموص)
  3. Katiba (كتيبه)
  4. Nataat (نطات)
  5. Shaq (شق)
  6. Watih (وطيح)
  7. Solaalim (سلالم)

in qal'on me 20 hazaar se zeyaadah yahudi rahte the taqriban 2 hazaar bahaadur wa jang ju bhi the


Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ko it'tela mili ke Khaybar ke yahudiyon ne musalmaano se jang ki badi tay'yaari ki hai ...

Rasule geraami (صلى الله عليه وآله) apne sepaahiyon ko le kar chale, yahudiyon ke aek mahine (ya 10 ya 21 roz) tak mohaasara wa moqaabala ke baad bil aakhir qal'ae yake baad digari fath hote ga'ae lekin har aetebaar se mohim wa markazi 2 qal'ae aur marhab jaise sardaar ki rehaa'eish gaah fath na kar sake


Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne Abubakr ko bheja lekin ye fath kiae beghair bhaag aa'ae

dusre din Umar ga'ae ye bhi bhaag aa'ae


Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) se fauj kahti thi Umar ne buzdili wa naa mardi ki aur Umar kahte the fauj ne naa mardi wa buzdili ki


Rasule akram (صلى الله عليه و آله) ne na Umar ki tasdiq ki aur na hi fauj ki

balke apne amal se ye waazeh wa raushan kar diya ke Umar sach'che nahi hain, Umar ki baat ghalat hai fauj ki baat sahih hai ke Umar ne naa mardi ki, aap ne fauj nahi badli balke sardaar ko badal diya


tisre roz ye nahi farmaaya ke kal aiysi fauj ko bhejun ga jo buzdil nahi hai balke irshaad farmaaya :


"kal main ye alam ous bahaadur shakhs ko dunga jo badh badh kar hamla karne waala hai bhaagne waala nahi hai Allaah aur ous ke Rasul ko dost rakhta hai aur Allaah wa ous ke Rasul bhi ous ko dost rakhte hain Khoda ous ke haath par zarur is qal'ae ko fath kar dega"


Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne ye kah kar ke "bhaagne waala nahi hai" bata diya ke kal jis ko alam dunga wo Abubakr wa Umar ki tarah bhaagne waala nahi hai


sahaaba ... ko ye tamanna wa aarzu thi ke ye alam mujhe mile isi fikr me is tarah rahe ke raat bhar nind nahi aaei


subh ko achaanak ye aawaaz kaanon me aaei ke Ali (عليه السلام) kahaan hain ?

ye ghair motawaq'qe aawaaz thi keyon ke Ali (عليه السلام) ki aankhon me aashob tha sab ko maalum tha ke aap jang ke liae nahi jaa'aen ge


bahar kaif hasbe talab aap haazir huae, Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ne aap ki aankhon par apna loaabe dahan mala to aankhen bilkul thik ho ga'ein aur doa farmaa'ei ...


aap qal'oun par pahunche jang shuru huei Marhab ke bhaaei "Haaris" ko waasile jahannam kiya


phir Marhab aur aap ke darmeyaan rajaz padhne ka silsila shuru huaa


Hazrat Ali (عليه السلام) ne qal'ae ke raeise aazam ghamand waale naami pahlawaan wa jang ju Marhab par is zor se talwaar maari ke aahani topi wa sar ko kaat'ti huei daanton tak outar aaei ... aur do nim ho gaya

yahudiyon ne aap ki ye shujaa'at dekhi to bhaag ga'ae


jo qal'ae aek maah ya 10 ya 21 roz se fath nahi ho rahe the aur Abubakr wa Umar bhaag aa'ae the aap ne ous ko mokhtasar se waqt me fath wa sar kiya


haalate jang me aap ki dhaal gir padi to aap ne fauran qal'ae ka aek darwaaza oukhaad kar ous ko separ bana liya


wo darwaaza is qadr wazni tha ke ous ko 40 aur dusri rewaayat ke motaabiq 50 jangi wa qawi afraad bhi palat nahi paate the, ous ko kholne wa band karne me 40 qawi afraad ki zarurat thi


Rasule maqbul (صلى الله عليه و آله) ko is fath se aiysi khushi huei ke Hazrat Ali (عليه السلام) ka istiqbaal karne aur aap ko mobaarak baad dene ke liae khayme se baahar nikal pade, daud (دوڑ) kar aap ko sine se lipta liya aap ki peshaani par bosa diya ...


ye jang dar asl fathe Makkah ka sabab bani aur fathe Makkah ka moqaddemah saabit huei is ke aelaawah bhi is fath se bahot saare faa'aede huae


Sunniyon ke mash'huro maaruf aalime deen aur mofassir Fakhre Raazi Sb raqam taraaz hain :


Rasule Khoda (عليه السلام) ne farmaaya :

"main apne parwar degaar ke paas raat guzaarta hun (yaani khoda ka mehmaan hota hun) wo mujhe khilaata aur pilaata hai"


Isi maani wa matlab ki wajah se ham dekhte hain :

"... aalame ghaib ke haalaat wa kayfiyaat ke baare me jis ka bhi eilm bahot zeyaadah hai ous ka qalb bahot zeyaadah qawi hota hai aur aaza bahot mohkam wa mazbut hote hain


Isi wajah se Ali Ibne Abi Taalib (كرم الله وجهه) ne farmaaya :

"khoda ki qasam main ne baabe Khaybar ko jismaani taaqat wa quw'wat se nahi oukhaada balke rabbaani wa aelaahi quw'wat se oukhaada"


dar oukhaadte waqt Ali (كرم الله وجهه) ka ta'alluq "aalame ajsaad" (jism ki dunya) se tut gaya tha aur kibriya wa buzurg khoda ke anwaar chamke the isi liae aap ki ruh qawi ho gaei thi ..."


(tafsire kabir jild 21 p 91 tafsire surah khaf aayat 9 al hujjatus saadesah)


Jange Khaybar se darso sabaq :


is jang wa fath se bahot saare darso sabaq aur eibraten haasil ki jaa sakti hain


aek mohim eibrat aur dars ham ye le sakte hain ke agar musalmaanon ki aksariyat buzdilon aur maydaane jang se feraar karne waalon ke ba jaa'ae Amirul Momenin Ali (عليه السلام) jaise shuja, bahaadur ... ki payrawi karte aur aap ke naqshe qadam par chalte to 71 saal se Philistine aur qibla'ae aw'wal par yahudiyon ka tasallut nahi hota

aur Hindustaan samet puri dunya me musalmaanon par zulm na hota, zalil wa ruswa na hote

aur musalmaanon me se aksariyat ke hukmoraan yahudiyon ke aeshaare par kutte ki tarah dum na hilaate, oun ke talwe chaatna chhod dete


zaruri hai ke ghazwa'ae khaybar aur asre haazir ke amali taqaazon par hamaari tawajjoh ho


khoda hame'n Amirul Momenin Ali (علیه السلام) ke naqshe qadam par chalne ki taufiq ata farmaa'ae


Sunni ketaabon ke chand hawaala jaat :


  1. sahih bokhaari jild 5 baab 155 ghazwae khaybar p az 240 ta 253

  2. sahih muslim jild 15 baab fazaa'aele Ali ibne Abi Taalib p az 176 ta 179

  3. taarikhe tabari jild 2 baab ghazwae khaybar p az 298 ta 303

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


24 / ذى الحجه / 1441 ھ.ق


🌹روز نزول آیات مباہلہ و تطہیر اور ولایت🌹

subscribe us on youtube

1 comment:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen