keya jersey gaa'ae ka gosht khaana | dudh pina haraam hai ? | pine se jawaanon me jaraa'aem ki raftaar badh rahi hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, August 4, 2020

keya jersey gaa'ae ka gosht khaana | dudh pina haraam hai ? | pine se jawaanon me jaraa'aem ki raftaar badh rahi hai ?

sawaal az : mohtarama janaab samaana razavi sb / zangi pur


Salam


Jarsi cow ka dhoodh pi sakte hai aur uska gosht khaa sakte hai yaha kuchh ĺog ne kaha hai haram hai uska gosht khana aur dhoodh pina


Mai sistani saheb ki muqallid hu


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

ji jersey gaa'ae ka dudh pi sakte hain aur ous ka gosht khaa sakte hain halaal hai, haraam nahi hai


Note :


france aur bartaaniyah ( british ) ke darmeyaan waaqe aek jazirah ba naame "jersey" hai jersey gaa'ae ki nasl isi jazirah se chali hai isi liae is ko "jersey gaa'ae" kahte hain


gaa'ae ki bahot si aqsaam hoti hain oun me se aek "jersey gaa'ae" hai mokhtasar ye ke "jersey gaa'ae", gaa'ae ki naslon me se aek nasl hai


is gaa'ae ke mota'alliq logon me ye ghalat fahmi hai ke suwar ke nutfe se paiyda hoti hai, haalaanke aiysi koei baat nahi hai

is ki paiydaa'eish me suwar ka maaddah shaamil nahi hai

lehaaza ye halaal hai


hurmat ki jo baat kahi jaati hai wo tahqiq ke khelaaf hai


isi tarah konwen ke mendak ( کنویں کے میڈک ) aur haqaa'aeq se dur gaa'ae wa gobar parast RSS aur singh parchaarak ke baaz afraad ki ye baat bilkul be bunyaad wa ghalat hai ke "jersey gaa'ae" ka dudh pine ki wajah se nau jawaanon me jaraa'aem ki aadat badh rahi hai aur bure asaraat paiyda ho rahe hain


in logon ka kahna hai ke gaa'ae ka matlab sirf aur sirf hindustaani gaa'ae hai ...


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔14 / ذى الحجه / 1441 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen