Asalam alaikum
Janaab aap ne jawaab me likha hai chhinton me agar najaasat lagi hai to najis hai warna nahi.
Hum yeh kaise pehchaane ki chhinton me najaasat hai ya nahi kyun ki jab hum najis shuda badan ko paak karte hain us waqt jo chhinten uthti hai woh paani ke mushabeh hoti hain un ko najis ya paak qarar dena mushkil hi nahi namumkin bhi hai aur yeh masla najis kapda dhote waqt istenja karte waqt aksar pesh aata hai is liye aap se iltija hai ki bamojube fuqha is ka jawaab den.
Janaab agar ho sake to meharbaani kar ke jawaab jaldi de dijiye ga Aap ka mamnoon gulzar ahmad
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
is hawaale se is ke qabl tafsili jawaab aap ki khidmat me bheja jaa chuka hai. bahar haal mokhtasar jawaab molaaheza farmaaen:
aabe qalil ( jaise lote waghaiyrah ) se dhote waqt paani ain-e-najaasat ( jaise peshaab waghaiyrah ) par pade phir us ki chhinten badan waghaiyrah par paden to wo chhinten najis hain badan waghaiyrah par padne se najis ho jaaega
lekin agar aise pipe se dho rahe hain jo kur se mut'tasil hai ( jaise supply ka paani - urban water plumbing - ya aisa pipe jo aisi tanky (tank) se mut'tasil hai jo kur ke hukm me hai ) to us ki chhinten paak hain
2 surat me is ki bhi chhinten najis hain :
1 jab chhint waala paani najaasat ka rang ya maza ya bu-baas apna le (aekhteyar karle)
2 chhinton me ain-e-najaasat dekhi jaae
Note :
agar ain-e-najaasat dekh na paa'aen ya rang ya maza ya bu-baas badalne ki tash'khis na kar paa'aen to is ka matlab huwa : 《 shak hai ke aaya chhinton me ain-e-najaasat hai ya nahi? rang ya maza ya bu-baas badli hai ya nahi? 》
is par yaqin nahi hai lehaaza is surat me paak hai. bahot zeyaadah tahqiq wa chhaanbin karke khud ko zahmat wa mashaq'qat me daalne ki zarurat nahi hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e- darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawalaat Qum / Iran
6 / شعبان / 1439 ھ.ق
subscribe my channel
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e- darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawalaat Qum / Iran
6 / شعبان / 1439 ھ.ق
subscribe my channel
No comments:
Comment