Assalamo ailequm
Agha mera sawal hai ki
2. kiya machhli (fish) aur doodh sath khane pine se safed dagh hota hai?
Mera number mat share kijiye ga Wassalam Agha
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
qur'aan aur motabar hadis me mujhe nahi mila ke mach'li khaane se pahle ya baad me ya aek saath dudh pine se safed daagh ( baras ) ka khadsha rahta hai
baaz logon ki jaanib se bayak waqt istemaal karne se mana karne ki wajah shaayad ye ho ke mach'li ki taasir garm hai aur dudh ki taasir sard hai
dono ko aek saath khaane ka radde amal safed daagh waghaiyrah ki shakl aekhteyaar kar sakta hai
behtar hai is ta'alluq se kisi tajrebe kaar aur maahire taghzeyaat ( تغذیات ) doctor se daryaaft kar len
baaz rewaayaat se istefaada hota hai ke mach'li ke saath garm chizen khaaen , jaiyse akhrot wa masaale ...
imaam saadiq ( عليه السلام ) se manqul hadis ka mafhum :
" jo shakhs raat me mach'li khaae aur ous ke baad khurma ya shahad na khaae to subh tak faalij ki rag ( naali / sharyaan ) ous ke andar mota'harrik ho jaati hai
(foruae kaafi jild 6 p 323 ketaabul at'aema baabus samak )
Note :
tisre sawaal ka jawab diya jaa chuka hai pahla sawaal taarikh ke mota'alliq hai lehaaza ous ka jawaab baad me diya jaae ga انشاءالله
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat - Qum / iran
11 / ذیقعده / 1441 ھ.ق
🌹 روز ولادت با سعادت امام رضا ( عليه السلام ) 🌹 Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat - Qum / iran
11 / ذیقعده / 1441 ھ.ق
🌹 روز ولادت با سعادت امام رضا ( عليه السلام ) 🌹 Subscribe my channel
No comments:
Comment