wozu me makruhaat | wozu wa ghusl me ketna paani istemaal karna chaahiae ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, July 18, 2020

wozu me makruhaat | wozu wa ghusl me ketna paani istemaal karna chaahiae ?

Sawaal az : Mohtaram janaab abu zar aabedi sb /+ 919368...... / Chandi garh

Slamun alaikum Qibla,
Ummid karta hu k aap khaireyat se honge.Allah aapko khair o Aafiyat se rakkhe.

Aameen🤲.

Mera Sawaal hai Kya wuzu karne ke baad apne hath or muh ko towel se khushk kar sakte hai?

Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
بہت بہت شکریہ


Ji khushk kar sakte hain lekin wozu ke paani ko khushk karna makruh hai

wozu ke taalluq se chand chizen waajib hain aur chand chizen mustahab wa makruh hain
aap ke sawaal ka rabt makruhaat-e-wozu se hai lehaaza chand dusre makruhaat-e-wozu molaaheza farmaaen :


1. istinja ki jagah wozu karna yaani peshaab ya paakhaane ke baad najaasat se apne aap ko paak karne ki jagah wozu karna

wazaahat :

is waqt hammaam, washroom aur munh haath dhone ki jagah aek hi saath wa aek hi jagah banaaei jaati hai to keya aiysi jagah wozu karna makruh hai?

Jawaab :

istinja karne ki jagah, wozu karna makruh hai munh haath dhone ki jagah ( wash stand sink ) juda hota hai lehaaza yahaan wozu karna makruh nahi hai

2. ous paani se wozu karna jo suraj ki garmi se garm ho gaya ho

3. khud wozu karne me nahi balke paani daalne me dusre se madad lena masalan koi paani daale aur wozu karne waala khud aazaae wozu par paani pahunchaae ye makruh hai
lekin mas'h karne me madad lena jaaez nahi hai

4. ous bartan se wozu karna jis par sone ya chaandi ki qalaei (قلعی ) huei hai
ya ous bartan se karna jis par taswir bani hai

5. Wozu karte waqt Aabe wozu me israaf ( fozul kharchi )

Wazaahat :

israaf to haraam hai phir yahaan makruh keyun hai?

Jawaab :

makruh ous waqt hai jab paani ki qimat wa ahamiyat na ho masalan kahin paani farawaan ho

jahaan paani kam hai aur ouski ahamiyat wa qimat hai to wahaan israaf haraam hai

israaf ka meyaar wa kasauti :

rewaayat me hai ke mustahab hai wozu karne me aek mud aur ghusl karne me aek saa ( صاع ) paani istemaal karen

is se zeyaadah istemaal karna israaf hai

aek mud :
taqriban 750 gr hai

aek saa :
taqriban 4 mud ke baraabar hai yaani 3000 ( tin hazaar) gr ( 3 Liter )


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khadim-e- aedara-e- darul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e- sawaalaat Qum / iran

4 / جمادى الاولى / 1440ھ.ق
subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen