Aoa
Bhai agar koi bap mentlly distrub Ho or wo family koa marta gali data after intervel jb bh gussa aya tw beta ka kia shari zimadari bnta ha
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
demaaghi parishaani me mubtala ( majnun ) baap maa ke ta'alluq se farzandon ki zimme daari me koei farq nahi hai
jis tarah aaqil baap maa ke hawaale se farzandon ki zimmedaari banti hai ousi tarah demaaghi parishaani me mubtala baap maa ke mota'alliq zimme daari banti hai ke :
oun ka aehteraam kare aiysa koei kaam na kare jo oun ki aziyat wa taklif ka sabab bane aur oun ka naan-o-nafqah wa zaruraton ko pura kare , oun ki hefaazat wa dekh bhaal kare
agar khud nahi kar sakta hai to kisi aur se karaae
mokhtasar ye ke tamaam farzand oun ki dekh bhaal aur aelaaj karaane ... ke hawaale se zimme daar hain
aaqil aur majnun baap ke ta'alluq se zimme daari me farq aetna hai ke : haalate jonun me jo namaazen chhut gaei hain wo baap ki maut ke baad bade bete par waajib nahi hain is liae ke majnun par namaaz waajib nahi hai
Note :
behtar hai di gaei link molaaheza farma len
biwi par ilzaam lagaane ka hukm | baap bete ke hoquq | baap apna haq ada na kare to aulaad keya karen... ? Click here
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
26 ذیقعدہ 1441 ھ.ق
subscribe my channel
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
26 ذیقعدہ 1441 ھ.ق
subscribe my channel
No comments:
Comment