ladke ki shaadi ke phale jo saamaan jama kiya jaata hai ous par khums hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, July 26, 2020

ladke ki shaadi ke phale jo saamaan jama kiya jaata hai ous par khums hai ?

sawaal az : +91 89795 .....

Salam alaikum

Aaj hamaare yaha khums ki date hai aaj ke din niklta hai hmare yha khums mujhe ye puchna hai ke hamne jo bhai ki shadi me khud se liya tha furniture bed ,almari dressing make up ka saman in par khums niklega kya

Pls ans abhi de dijiye

Makeup ka saman kuch aesa hai jispar price nhi likhe hue to uspr kaise nikale

jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar logon ke darmeyaan is tarah raa'aej wa aam ho ke insaan in chizon ko chand barson ( saal ) ke darmeyaan tadrijan thoda thoda jama wa aekattha kare aur in chizon ko aamaadah wa mohaiy'ya (مہیا) na karna shaan ke shaayaan wa laa'aeq ( meyaare zindagi ) ke monaafi wa khelaaf ho to is surat me agar saal ke darmeyaan ousi saal ke hone waale faaede ( aamdani ) se kuch meqdaar me in chizon ko kharide ke shaan ke shaayaan wa laa'aeq (meyaare zindagi ) se zeyaadah na ho aur ourf me aek saal ke darmeyaan ous meqdaar ko jama wa aekattha karna oun ke saalaana raa'aej wa aam aekhraajaat me shumaar ho to in chizon ka khums dena waajib nahi hai

( ba motaabiq fatwa aayatullaah sistaani )


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

5 ذى الحجه 1441 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen