kanghi karne ki taakid | faaede | aadaab - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, July 10, 2020

kanghi karne ki taakid | faaede | aadaab

Sawaal az : +9233332.....


AOA qibla mere sawal hn...


keya wozu ke baad kanghi kar sakte hain ?


mera naam share mat krega plzzz wasalam


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


kar sakte hain


mokhtalif rewaayaat me kanghi karne ki bahot taakid ki gaei hai
makhsusan namaaz ke pahle aur baad me
aur is ke faa'aede wa sawaab ki taraf bhi aeshaara kiya gaya hai


surah aaraaf aayat 31 "ay bani aadam har masjid (namaaz) ke waqt apni zinat karo ..." ki tafsir me Imaam Musa Kaazim (عليه السلام) se manqul hai :


"is zinat me se aek har namaaz (waajib ya mustahab) ke pahle kanghi karna hai"


(foruae kaafi jild 6 p 489 baab tamash'shut / tafsire "majmaoul bayaan" jild 4 p 513 tafsire surah aaraaf)


Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se marwi hai :


كَثرَةُ تَسرِيحِ الرَّاسِ تَذهَبُ بِالوَبَاءِ وَ تَجلِبُ الرِّزقَ و تَزِيدُ فِى الجِمَاعِ


"sar ke baalon me zeyaadah kanghi karna waba ko dur wa bartaraf karta hai aur rozi ko haasil karta hai aur jema ki taaqat me aezaafa karta hai"


(foruae kaafi jild 6 p 489 baab tamash'shut )


Imaam Musa Kaazim ( عليه السلام ) ne farmaaya :


"jab bhi daadhi aur sar ke baalon me kanghi karo to kanghi ko apne sine par phero, is se andoh aur waba dur hoti hai"


(man laa yahzarohul faqih jild 1 p 75 baab 22 h 321 )


Baaz rewaayaton me hai :


"kanghi karne ke baad kanghi ko sine par pherne se shaitaan ka waswasa dur hota hai"


kanghi karne ke mazid faa'aede, aadaab wa tariqe bhi bataa'ae ga'ae hain aur doa'aen bhi waarid huei hain ketaab "Hilyatul mut'taqin" baab 5 fasl 12 padh len


lekin aadaab me se kuchh chand chizon ke baare me zaruri maalumaat bayaan ki jaati hain is liae ke aam taur par log ous par amal nahi karte hain :


  1. Amirul Momenin Ali (عليه السلام) se marwi hai :

  2. "khade ho kar kanghi karna faqiri aur parishaani ka baa'aes hai"


  3. Imaam Musa Kaazim ( عليه السلام ) se manqul hai :

  4. "khade ho kar kanghi na karo is liae ke aiysa karna dil ki kamzori ka sabab hai, baith kar kanghi karo is se dil qawi hota hai ..."


  5. Imaam Saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :

  6. "jo bhi khade ho kar kanghi kare wo maqruz hota hai"


  7. Imaam Saadiq ( عليه السلام ) se manqul hai :

  8. "hammaam me kanghi na karo is liae ke aiysa karne se baal girte hain"


  9. imaam saadiq (عليه السلام) ka irshaade geraami hai :

  10. لاَ تَتَسَرَّحْ فِي الْحَمَّامِ فَإِنَّهُ يُرِقُّ الشَّعْرَ


    "hammam me kanghi na karo keyon ke ye baal ko patla aur jad se kamzor karta hai"


    (bahaarul anwaar jild 76 p 113 naashir moas'sasah al wafa)

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


17 / ذيقعده / 1441 ھ.ق

subscribe us on youtube


Recommended


keya raat ke waqt kanghi nahi karna chaa'hiae

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen