jannat me jaane waale jaanwar - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, July 16, 2020

jannat me jaane waale jaanwar

sawaal az : +919998......

Imam Sadiq (as):

"Jaanwar Jannat mein daakhil na honge siwaaye 3 ke: Balam e Ba'oor ka gadha, H. Yusuf (as) ka bhediya aur As'haab e Kahaf ka kutta.

(Irshadaat e Masumeen (as), p94) Salamun alaikum wrb Is hadees me jo 3 nam hai unki thodi Wazahat karde

Shukriya 🌹

jawaab :


باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


tafsir-e- saafi surah-e-Kahf ki tafsir me is rewaayat ka zikr hai

1- bal'am bin baa'aura ( بلعم بن باعورا ) :


ye shakhs zaahid tha aur baaz Aasmaani ketaabon ka aailm bhi tha , ise ism-e-Aazam ka eilm diya gaya tha jis se is ki doaaen qabul hoti thin

jab firaun hazrat-e-Musa aur un ke momin saathiyon ki talab me nikla to firaun ne bal'am bin baa'aura se kaha Musa ke khelaaf dua karo taa ke Musa pakad liae jaaen , bal'am bin baa'aura hazrat Musa ke ta'aaqub me nikalne ke liae gadhi ( گدھی ) par sawaar hua , lekin gadhi ne chalne se inkaar kiya to ous ko maara , gadhi ba-hukm-e-khoda boli :
waa'ae ho tum par , tum is liae maar rahe ho ke tumhaare saath khoda ke nabi aur un ke baa eimaan saathion ko pakadne nahi jaa rahi hun wo gadhi apni jagah se nahi hati to us ko itna maara ke mar gaei

ism-e-Aazam bhi zabaan-o-zehan se nikal gaya

( allah ki nemat ko ghalat jagah istemaal karne ka yahi natija hota hai )

( tafsir-e-saafi , surah-e- Aaraaf - Aayaat 175 - 176 )

2- as'haab-e-kahf ka kutta :

as'haab-e-kahf me shaamil galle baan ka kutta tha , jab ye log ghar ki taraf jaa rahe the to kutta bhi saath chala , us ko bahot bhagaaya , is liae ke us ki aawaaz sun kar zaalim baadshaah ke sepaahi hamaara pata laga kar pakad na len , lekin nahi bhaaga , bahot bhagaane par we kutta ba-hukm-e-khoda bola :
daro nahi , kheyaanat nahi karen ge , me ouliya-e-aelaahi ko chaahta hun , me ous par eimaan laayaa hun jis par tum eimaan laaye ho , me ous ko talab kar raha hun jis ko tum talab kar rahe ho ...
phir wo kutta un ke saath gaya aur as'haab-e-kahf ke saath 309 saal soyaa aur un ke saath bedaar bhi hua ( waaqe'aah tafsili hai ) phir dobaara as'haab-e-kahf ke saath wo kutta so gaya

( majma'oul bayaan , surah-e- kahf - aayat 18 )

3- mulzim bhediyaa ( ملزم بھیڑیا ) :

janaab-e-yaaqub wa janaab-e-yusuf ka waaqe'aa tafsili hai

jab haasid bhaaeiyon ne baap se kaha yusuf ko bhediyaa kha gaya to janaab-e- yaaqub ne kaha agar tum log sach bol rahe ho to ous bhediyaa ko laao jis ne yusuf ko khaaya hai

ye log sahra me gae aur aek bhediyaa ko pakad kar us ke haath pair baandh kar baap ke paas laae , janaab-e-yaaqub ne bhediyaa ko apne paas bolaa kar kaha : tumhe sharm nahi aaei , mere nur-e- chashm yusuf ko khaa liya
to bhediyaa ba-hukm-e- khoda bola : aap ki piri aur safed baalon ki qasam , me ne aap ke farzand ko nahi khaay
a hai , paiyghambar ka gosht , khun ... mujh par haraam hai , me mazlum hun , in logon ne mujh par jhuta eilzaam lagaaya hai

( tafsir-e- manhajus saadeqin - jild 5 , p 23 - tafsil ke liae surah-e-yusuf Aayaat 17 - 18 dekh len )

aek dusri rewaayat hai jo imaam-e-Reza ( علیه السلام ) se manqul hai , us me bal'am ki gadhi aur as'haab-e-kahf ke kutte ke hamraah aek dusre bhediya ka zikr hai , is ka qissa kuchh is tarah hai :

aek baadshaah ne apne aek choki-daar ko hukm diya tha ke momenin ko sataae , lehaaza wo momenin ko bahot aziyat wa taklif deta tha , jab sar se paani ouncha ho gaya ( zulm ki intehaa ho gaei ) to aek bhediyaa aayaa aur choki-daar ke chahete wa aek'laute bete ko khaa gaya , imaam-e-Reza ( علیه السلام ) ne is bhediye ko jannati bataaya hai

( tafsir-e-qumi , jild 1 - p 248 / bahaarul anwaar , jild 14 - p 423 )

dono hadis me tazaad nahi hai , dono bhediye jannati hain

mokhtasaran bata dun , tino haiywaanaat ka zikr qur'aan karim me hai , hawaale ke motaabiq Aayaten dekh len

in waaqe'aat me insaano ke liae sabaq wa eibrat hai

in tin haiywaanaat ke aelaawah bhi kuchh haiywaanaat hain jo jannat me jaaen ge , tafsil ke be-ghair baaz ke naam ye hain :

1- rasul-e-khoda 
( صلی الله علیه و آله ) ka wo ount jis ka naam " ghazaba " ya " azaba " tha aur gadha jis ka naam " yaafur " tha

2- wo kabutar wa makdi jis ke zariae khoda ne rasul-e-akram ( صلی الله علیه و آله ) ki jaan bachaaei

3- imaam-e-Hussain ( علیه السلام ) ka asp " zuljanaah "

4- wo ount jis par sawaar ho kar imaam-e- Hussain ( علیه السلام ) ne subh-e-Aashura lashkar-e-kufa ko mokhaatab kar ke khutba diya

5- imaam-e-Sajjad ( علیه السلام ) ka wo ount jis par sawaar ho kar kaei martaba haj karne gae

6- wo kawwa ( کوا ) jis ne qaabil ko qabr khodne ka tariqa bataaya

7- wo mach'chhar , jo namrud ki halaakat ka sabab bana

8- wo abaabil , jis ne abraha ke lashkar ko tabaah kiya

9- wo hud'hud , jis ne sarzamin-e-saba wa bilqis ki it'tela janaab-e-solaiymaan ko di

10- wo cheyunti ( چیونٹی ) , jis ne janaab-e-solaiymaan se baat ki

11- janaab-e-ozair ka gadha

12- naaqa-e-janaab-e-saaleh

13- bani israail ki gaae

14- wo gosfand jo ba ounwaan-e-fidyah janaab-e-ismāil ke liae jannat se aayaa

15- wo badi machhli , jis ke shekam me janaab-e-yunus the

16- janaab-e-eisaa ka mash'hur gadha


Note :

1- in haiywaanaat ne raah-e-khoda me makhsus kaam kiye hain is liae jannat me jaaen ge

2- insaan wa haiywaanaat ki jannat alag alag hai

3- baaz aayaat wa rewaayaat ke motaabiq , haiywaanaat bhi misl-e-insaan roz-e- qeyaamat mah'shur kiye jaaen ge aur un ke sho'our wa idraak ke motaabiq ach'chhe kaam ki jaza wa bure kaam ki saza di jaae gi aur jis ne bhi un par zulm kiya hai ous ka bhi faiyslaa hoga

( ye bahas bahot tafsili hai , tulaani jawaab ke pesh-e-nazar tafsil ko nazar andaaz karta hun )


والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e- sawaalaat Qum / Iran

27 / رجب / 1439 ھ.ق

💐روز مبعث رسول خدا صلی الله علیه و آله💐

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen