oun rewaayaat ki haqiqat, jis me bimaari wa waba ka aelaaj kalaunji, kishmish waghairah btaaya gaya hai - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, June 23, 2020

oun rewaayaat ki haqiqat, jis me bimaari wa waba ka aelaaj kalaunji, kishmish waghairah btaaya gaya hai

Sawaal az : admins facebook group " Paigham E Karbala (Neki ki hidayat)

Imaam-e-reza a.s ke zamaane me basra me ek baar waba phut padi log shadid tap ka shikaar ho kar marne lage jab waba had se badhi to ahle basra ne chand logo ko imaam ke paas bheja ke kis trah is waba se chhutkaara haasil karen Imaam reza a.s ne farmaaya ke kisi bhi waba ki surat me kishmish pe hamaari nazr de kar khaa lo jo bhi hamaari nazr ki hui kishmish khaayega wo wabaei amraaz se mahfuz rahega

Keya hadis sahi hai?
Iska refrence chahiye

Ye message social media pe viral ho rahe iski wazaahat farmaa den Shukriya

jawaab :


باسمه تعالى
*ياصاحب الزمان ادركنا*
سلام عليكم


mujhe is tarah ki baat hadison ya motabar ketaabon me nahi mili

Qaabile zikr baat :

yahaan ye baat qaabile zikr hai ke bela shub'ha maasumin ( صلوات الله عليهم ) se mansub baaz aiysi rewaayaten maujud hain jis me chizon ki khaasiyat our ous ke zariae se bimaariyon our waba ke aelaaj ka tazkera hai

lekin oun se baa qaaeda istefaada ous waqt kiya jaa sakta hai jab tibbi tahqiqaat our tajreba ke baad saabit ho jaae ke folaan chiz masalan kishmish ya kalaunji ( کلونجی ) ... folaan maraz ki dawa wa aelaaj hai ya folaan waba ke liae mofid hai
mere eilm me aiysa koei markaz nahi hai jis me tibbi aetebaar se aiysi hadison ke mota'alliq " pharmaceutical laboratory " ( دوا سازی کی لیبارٹری ) ki tarah tahqiq wa tajreba ke baad natijatan ya ba ounwaane eilm bataaya gaya ho ke folaan chiz folaan bimaari ya waba ka aelaaj hai ya folaan chiz khaaen saahebe aulaad ho jaaen ge


dusre ye ke mohaq'qeqine hadis ke ba qaul rewaayaat me kalemae " islaami tib ... " ka kahin zikr nahi hai our is tarah ki aksar rewaayaten zaeif ya mursal ya jaali hain

ta'ajjub hota hai aiyse logon par jo daawe daar hain masalan " kalaunji ( kaala daana ) ... kha len kuch nahi hoga " "is me bajuz maut ke har maraz ka aelaaj hai "

oun logon ko eilm nahi hai is liae aiysi rewaayaton ki tarwij karte hain jis se islaam ... badnaam hota hai our log naa oummid ho jaate hain ya apni jeb garm karte hain


Note :

behtar hai isko bhi padh len


Headline

Cancer ka ilaaj | Rumor ki tasdeeq Click here



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran

30 / شوال / 1441 ھ.ق
subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen