ghalati se qibla rukh namaaz nahi padhi to keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, June 12, 2020

ghalati se qibla rukh namaaz nahi padhi to keya hukm hai ?


sawaal az : ............

Salamun alaikum
Kaise mezaj hain

Huzoor ye bataen k ek shakhs ne Agar namaaz ghalat direction me padhi gai wo b kafi din galti se to un namaz ka kya hoga
Exact direction baad me pta chala
Unhoney ek admi se maloom kiya aur suraj k doobney se andaza lagaya k qibla kis taraf hai

Moqallid ayatullah sistani

Baad mein mobile compass se maloom kiya to pata chala k ghalat padh rahe hain ...
Barahe karam naam aur number makhfi rakkhen


jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا 
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


agar itminaan haasil tha ke pahli samt qibla hai our ousi taraf rukh kar ke namaaz padhi lekin namaaz ke baad motawajjeh huae ya maalum huaa ke qibla ki samt wa jehat ghalat thi
to dobaara padhna ya namaaz ki qaza karna zaruri nahi hai



Note :

behtar hai di gaei video dekh len



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

18 / شوال / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen