keya chhaala phutne se wozu tut jaata hai ? badan ya kapde par ous ka paani lag jaae to namaaz padh sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, June 25, 2020

keya chhaala phutne se wozu tut jaata hai ? badan ya kapde par ous ka paani lag jaae to namaaz padh sakte hain ?

sawaal az : ........

Assalamo ailequm
Agha mera sawal hai ki

3. kiya agar koi shaksh jal jaye aur us ke haath me chhala pad jaye aur vo chhala fut ke usme se pani nikalne lage to kiya wazu ho jayega ese me kiya karna chahiye.

Mera number mat share kijiye ga Wassalam Agha

jawaab :

باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا 
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ghusl our wozu nahi tute ga ( baatil nahi hoga )

sirf 7 chizen wozu ko baatil kar deti hain ye oun me se nahi hai
( tauzihul masaa'ael me dekh len )

agar ous ka paani badan ya kapdon par laga ho to dhona zaruri nahi hai ous ke saath namaaz sahih hai

Note :

aap ke baqiyah 2 sawaalon ke jawaab انشاءالله baad me diae jaaen ge is liae ke dono sawaal alag alag mauzu ke mota'aliq hain



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

1 / ذیقعدہ / 1441 ھ.ق
روز ولادت با سعادت خواہر امام رضا مریم آل محمد معصومئہ قم ( سلام الله عليه )
subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen