agar daadhi aur monchhon ke baal bade hon to wozu kaiyse karen ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, June 12, 2020

agar daadhi aur monchhon ke baal bade hon to wozu kaiyse karen ?


sawaal az : mohtaram Janaab Mirza Tanveer sb

Salaamun Allaikum

AGAR KISI SHAKHS KI MOONCHE BAHOT BADI BADI HO AUR MOONCH KE NEECHE KI JILD NAZAR NA AA RAHI HO TO WUZU KARTE WAQT US JILD TAK PAANI PAHUCHANA KAESA HAI, HALNKI UNKE NEECHE PAANI PAHUCHANA AASAAN HO❓

jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar chehre ki khaal baalon ke darmeyaan se nazar aa rahi hai yaani ayaan ( عیاں ) hai to khaal tak paani pahunchaana zaruri hai

lekin agar khaal zaahir nahi hai to is ki 2 surat hai , donon ka hukm alag hai :

1.
baalon ke niche yaani khaal tak paani pahunchaana mushkil hai , aasaan nahi hai to is surat me baalon ke zaahir ko dhona kaafi hai ous ke niche paani pahunchaana zaruri nahi hai

2. baalon ke niche paani pahunchaana aasaan hai , mushkil wa dushwaar nahi hai to is surat me ous ke niche dhona zaruri hai

yahi hukm aiysi badi monchon ( مونچھوں ) ke donon kenaaron ( taraf ) ka hai jis ne daadhi ( داڑھی ) ya chehre ki khaal ko chhupa rakha hai
yaani ous ke niche paani pahunchaana zaruri hai
ls liae ke donon kenaaron ke baalon ko hataana our paani pahunchaana aasaan hai dushwaar wa mushkil nahi hai



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran

20 / شوال / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen