Yaad nahi ke ketne roze chhute hain to qaza ka keya tariqa hoga ? aur agar qaza roze hain to mustahabbi roze rakhne ka tariqa - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, May 1, 2020

Yaad nahi ke ketne roze chhute hain to qaza ka keya tariqa hoga ? aur agar qaza roze hain to mustahabbi roze rakhne ka tariqa

Sawaal az : +91 87558.....


Salamunaleykum


Ek sawal hai
Mere kuchh qaza roze the mujhe yaad nahi kitne the mene shaban ke mahine mai kuchh roze rakh liye hai
mai ye puchhna chahta hu ki shaban ke mahine ke akhri 3 roze ki niyat kya karu


agar ho sake to namaaze zohar se pahle aap jawaab de den taki mai niyat kar lu


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar rozon ki taadaat nahi maalum hai bhul ga'ae hain ke ketne qaza hain ? to is surat me kam taadaat par bena rakhen yaani yaqini taadaat par bena rakhen ous se zeyaadah rakhna zaruri nahi hai


misaal ke taur par nahi maalum hai 2 roze qaza hain ya 3 lekin 2 par yaqin hai aur aek ke baare me shak to 2 hi rakh len kaafi hai


agar is mas'ale ke motaabiq anjaam diya hai to aap ke qaza roze ada ho ga'ae mustahabbi roze jaiyse maahe shaabaan ke rakh sakte hain


mustahabbi roza rakhne ka qasdo aeraadah kar len yahi niyat hai


lekin agar qaza roze nahi rakhe hain to mustahabbi roza nahi rakh sakte hain


qaza ki niyat se rakhen roze ki qaza bhi ada ho jaa'ae gi aur mustahabbi roze ka sawaab bhi mil jaa'ae ga انشاءالله


Note :


agar koei aiysa kaam nahi kiya hai jis se roza baatil ho jaata hai to mustahabbi roze ki niyat azaane maghrib ke pahle bhi kar sakte hain


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


27 / شعبان / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen