Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Minhal zaidi shahjahanpur (U.P) india
Salamun Alaikum.
Khaeriyat se hai ap ?
Janab mai ye janna chahta hu kya shabe qadr 27 ramzan ko bhi kehte hai ? ek sunni bhai se is baat par behes ho gai usne bola ki shabe qadr ki rat kaun si hai ye kisi ko maloom nahi.
lehaza mai ye janna chahta hu ki 27 ko shabe qadr keh sakte hai ?
is bare me thodi wazahat farmaye shukria.
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله
sab se pahle aap ki khidmat me arz kar dun ke shabe qadr ke ta'alluq se ahle sunnat ke darmeyaan mokhtalif aqwaal hain, nehaayat aekhtesaar ke saath sirf chand aqwaal ka zikr kiya jaa raha hai
- Abu Hanifa aur dusre olamaae sunni ke nazdik tamaam saal ki shabon me se koei aek raat shabe qadr hai, tamaam saal ki raaton me shabe qadr pinhaan hai, yaqini taur par kisi ko nahi maalum ke saal ki tamaam shabon me se kaun si raat shabe qadr hai
- maahe ramazaan ki raaton me se koei aek hai
maahe ramazaan ke darmeyaan ki 10 raaton me se koei aek hai
maahe ramazaan ke aakhir ki 10 raaton me se koei aek hai
shabe 17, shabe 19, shabe 21, shabe 27 aur shabe 23 me se koei aek raat shabe qadr hai
Isi liae Abu Hanifa aek fiqhi mas'ala bataate huae likhte hain :
agar koei apni biwi ko is shart ke saath talaaq de ke ye talaaq shabe qadr me naafiz wa waaqe hogi to jab tak aek saal kaamil guzar na jaa'ae talaaq waaqe nahi hogi
(is liae ke kisi ko nahi maalum saal ki kaun si raat shabe qadr hai, lekin jab bataure kaamil aek saal guzar jaa'ae ga to yaqin hai ke shabe qadr me talaaq waaqe wa naafiz ho gaei)
[sahih muslim - be sharhin nawvi (بشرح النووی) jild 8 p 57 - baab fazlo laylatil qadr ... naashir daarul fikr / sharhul azhaar jild 1 p 57 - taalif abdullah bin almiftaah - matbua qaahera]
shabe qadr shabe 23 maahe ramazaan hai, aksar sahaaba wa taabe'ein ka yahi qaul wa maanna hai
(sahih muslim be sharhin nawvi jild 8 p 57 - 58 - baab fazlo laylatil qadr ... naashir daarul fikr)
aek qaul ye bhi hai ke shabe qadr sirf Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ki hayaat me thi bas, qaabile takraar nahi hai
Tawajjoh :
jaiysa ke hawaale ke saath arz kiya aksar sahaaba wa taabe'ein shabe 23 ko shabe qadr maante hain, ye taarikh bhi shi'on wa sunnion ke darmeyaan mushtarak hai lekin afsos amalan beraadaraane sunni shabe 23 ko nahi manaate hain balke shabe 27 ko manaate hain, is se badi bul'ajabi (بوالعجبی) keya hogi !
Shi'on ke nazdikh shabe qadr ke ta'alluq se aqwaal :
shabe 19, shabe 21, shabe 23 aur shabe 27 ... bhi hai lekin Maasumin (صلوات الله علیهم) ki mash'hur wa motabar rewaayaton ke motaabiq shabe 19, shabe 21, shabe 23 me se koei aek raat shabe qadr hai, in tino raaton me se shabe 23 ke baare me qawi aehtemaal hai
baaz rewaayaton ke motaabiq shabe 19 me taqdir saazi aur omure aelaahi wa moqaddaraat ... tay hote hain aur shabe 21 me oun ki tahkim wa tasbit hoti hai aur shabe 23 me wo sab hatmi hote hain, yaani taa'eid wa tasdiq hoti hai, isi liae tino shabon me shabe 23 ki fazilat zeyaadah hai
Wazaahat :
beraadaraane sunni ne aiyse logon se islaam wa hadisen li hain jo Rasule maqbul (صلی الله علیه وآله) se nazdik nahi the ya faasiqo faajir wa kazzaab ya masihi wa yahudi ... the
lekin shi'on ne Ahlebaite Rasul (صلی الله علیه و آله) se islaam wa hadisen li hain, lehaaza shabe qadr ke ta'alluq se bhi shi'on ki rewaayaten qaabile aetebaar hain, is liae ke "Ahlulbait adra bema fil bait (اهل البیت ادری بما فی البیت) ghar waale zeyaadah behtar jaante hain ke ghar me kiya hai"
Note :
Masumin (صلوات الله علیهم) ko maalum tha ke shabe qadr kaun si raat hai, Imaame Zamaana (عجل الله تعالی فرجه الشریف) ko bhi maalum hai is liae ke is shab me malaa'aeka mosalsal aap ki khidmat me aate hain, aam logon par makhfi wa pinhan rakhne ke mokhtalif asbaab bataa'ae ga'ae hain, oun ko bayaan karne ke liae mofassal bahs ki zarurat hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
شب 27 / رمضان الکریم / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment