Roze ki haalat me daanton ke aelaaj (root canal), baal katwaane, brush karne aur qur'aan ke waajib sajdon ke ahkaam - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, May 3, 2020

Roze ki haalat me daanton ke aelaaj (root canal), baal katwaane, brush karne aur qur'aan ke waajib sajdon ke ahkaam

Sawaal az : mohtaram Janaab Abid Rizvi (Jeddah)


Janab Maolana shab salamun alaikum dua karta hoo aap khairiyat se honge.


Laws Etiquette of Fasting / Roze ke ahkaam wa aadaab ke hawaale se kuchh sawaal hai.
jawab Aytullah Syed Ali Sistani aur khamanai shab ke hawaale se de. Shukriya


aap ka Behtreen khidmat anjaam de rahe hai Allah aap ko sehat ke saat Salamat Rakhe
Elaahi Ameen


  1. Sawaal :

  2. Kya Roze ki aalam me daanto ka ilaaj, jaise root canal, karwaya jaa sakte hai ?


  3. Sawaal :

  4. Roze ki haalat me naai (Barber) ke yaha jaa ke baal katwana ya chehra bana sakte hai ke nahi ?


  5. Sawaal :

  6. Tilawate Quran ke dauraan agar sajde ki aayat aa jaaye aur koi maqool jagah sajde ke liye na ho to kaise sajde ko anjaam diya jaana chahiye? Is sajde mein kya zikr dohrana chahiye ?


  7. Sawaal :

  8. Kya roza kholne se pahle tooth brush kar sakte hai ya sirf miswak hi karna chahiye ? Yaa din me aur kisi waqt kisi ko tooth brush karna ho to kiya jaa sakta hai ke nahi ?


Jawaab :


باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
بہت بہت شکریہ


  1. dono maraaje aezaam :

  2. agar halq me koei chiz na jaa'ae to haraj nahi hai roza sahih hai baatil nahi hoga


  3. dono maraaje :

  4. is me bhi koei haraj nahi hai roza ke baatil hone ka sabab nahi hai


  5. Rahbare inqelaab Aayatullaah Khaamena'ei :

  6. aeshaara se sajda karen


    (mujhe rahbar ki nazar nahi mili ke baad me dobaarah sajda karna chaahiae ya nahi ? lekin aehteyaat ke taur par kar len to behtar hai)


    Aayatullaah Sistaani :


    aeshaara se sajda karen aur baad me jab bhi momkin ho dobaara sajda kar len


    zikr padhna waajib nahi hai


    albatta mota'addid azkaar ka tazkera hai, oun me se kisi aek ko padhna behtar wa mustahab hai (tauzihul masaa'ael me dekh len)


    aasaan tarain zikr tin martaba "sub'haanal'llaah = سبحان الله" ya aek martaba "sub'haana rabbeyal aala wa be hamdeh = سبحان ربى الاعلى و بحمده" hai


  7. dono maraaje :

  8. roze ki haalat me har waqt brush kar sakte hain, roza baatil nahi hoga, ba sharte ke paste ke zarraat jo aabe dahan se makhlut ho ga'ae hain halq ke niche na jaa'aen


    Note :


    mazid maalumaat ke liae niche recommend kiae ga'ae jawaab ko molaaheza farmaa len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


9 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

Subscribe us youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen